Haye Abbas Haye Abbas

- Joan Rizvi (2024)


Abbas Abbas
Haaye
Qatl jab hogaya maidan mein Abbas e Ali
Haye Abbas ke girye se fiza goonj uthi

Haye Abbas, Haye Abbas ×2

Jalte khaimon se sada aayi sar e Karbobala

Haye Abbas Haye Abbas ×2

Lo khabar jald ke ab bistare Sajjad jala

Haye Abbas Haye Abbas ×2

1. Tanha atthaara baradar ki behen hai ban mein
Neend kyu aagayi aye bhai batado ran mein
Neend se jaago chhini Zainab e muztar ki rida

Haye Abbas....

2. Mere ghazi mere safdar mere mir e lashkar
Dekh be aas hai pardes mein teri khwahar
Kat gaya sibt e payambar ka, bhi sajde me gala

Haye Abbas....

3. Bain karti hui laashe pe chali aaungi
Kitne naasoor kaleje mein hai dikhlaaungi
Meri taqdeer mein kuch bhi nahi ashkon ke siwaa

Haye Abbas....

Haaye,
4. Mera Akbar mera Qasim, mera Asghar na raha
Do mere laal the dono mein se koi na bacha
Na koi bhai bhateeja na koi hai beta

Haye Abbas....

5. Bhaiyon se to badi aas hua karti hai
Har behen bhai ke haq me ye dua karti hai
Umr lag jayen meri zinda rahe bhai mera

Haye Abbas....

Haaye,
6. Jee ke ab kya karu aye bhai tumhare ghum mein
Zindagi guzregi Zainab ki tere matam mein
Mujhko tadpaayegi aye bhai teri yaad sada

Haye Abbas....

7. Khaali quze liye bacche hai dare khaima par
Suwe dariya hai lagi bali Sakina Ki nazar
Kehti hai bacchon se aate hai abhi mere chacha

Haye Abbas....

8. Noha Rehan ye Zainab ka tha baade Abbas
Kyu nahi karte ho Abbas hamara ehsaas
Qafila be saron samaan suwe shaam chala

Haye Abbas Haye Abbas ×4