Thak Gaya Hai Hussain

- Shozab Abbas (2024)


Maa Ye Karti Hai Bain (4)

Thhak Gaya Hai Hussain (4)

Karbala Se Ye Zahra Ki Aayi Sada
Mera Beta Hai Lakht E Dil E Mustafa
Zakhm Khaa Kar Woh Deeñ Ko Bachaane Chala
Zulm Karte Haiñ Aada Woh Hai Be Khata

Thhak Gaya Hai Hussain (4)

Dekho Nana Nawaase Ne Deeñ Ke Liye
Jaañ Nisaari Pa Apne Pisar De Diye
Had Hai Abbas O Qasim Bhi Maare Gaye
Itne Sadme Utha Kar Ye Kaese Jiye

Thhak Gaya Hai Hussain (4)

Kham Kamar Hogayi Jab Se Bhaayi Gaya
Dard Bete Ka Beenaayi Sab Le Gaya
Pyaas Itni Ke Shaq Hai Kalaija Tera
Shiddat E Dhoop Se Tu Tadapta Raha

Thhak Gaya Hai Hussain (4)

Tujhko Maqtal Me Jaane Ki Taaqat Nahiñ
Laashe Akbar Bhi Laane Ki Taaqat Nahiñ
Qabr E Asghar Banaane Ki Taaqat Nahiñ
Zakhm Saare Uthaane Ki Taaqat Nahiñ

Thhak Gaya Hai Hussain (4)

Kitne Naazoñ Se Bachpan Hai Tera Kata
Zalimoñ Ne Tere Saath Ye Kya Kiya
Kitni Raatoñ Ka Beta Tu Jaaga Huwa
Aaja Maadar Ki Aaghosh Me Laal Aa

Thhak Gaya Hai Hussain (4)

Toone Akbar Ke Seene Se Kheñchi Sina
Tere Chehre Pa Asghar Ka Khooñ Hai Ayaañ
Haaye Tere Gale Par Chuhri Hai Rawaañ
Aao Imdaad Karne Ko Ay Baba Jaañ

Thhak Gaya Hai Hussain (4)

Zulm Se Kiske Zakhmi Hai Teri Jabeeñ
Kisne Beta Teri Pasliyaañ Tod Deeñ
Jism Hai Tera Teeroñ Pa Ay Naazneeñ
Phir Bhi Beta Ye Tu Bolta Kyuñ Nahiñ

Thhak Gaya Hai Hussain (4)

Bole Shabbeer Waade Ko Poora Karuñ
Hai Ye Marziye Rab Sakhtiyaañ Maiñ Sahuñ
Sajda E Shukr Me Zer E Khanjar Rahuñ
Aap Hi Bolo Maa Ab Maiñ Kaese Kahuñ

Thhak Gaya Hai Hussain (4)

Asr E Ashoor 'Taqleed' Aañdhi Chali
Shimr Ne Jab Gale Par Chaladi Chuhri
Qabr E Haider Bhi 'Shozab' Larazne Lagi
Roke Boli Ye Maqtal Me Bint E Nabi

Thhak Gaya Hai Hussain (4)