Mara Gaya Darya Pe Alamdar Sakeena
- Mir Hasan Murtuza (2024)
Alamdar Alamdar - Alamdar Alamdar
Mara Gaya Darya pe alamdar Sakeena..
Sheh bole Mera kon hai gham khwar Sakeena...
1) Arman tha Ghazi Ka pilaye tujhe paani.
Mashkeeza chida bujh na saki tashna dahani.
Louta Nahi Darya se Alamdar Sakeena...
Sheh bole Mera kon hai gham khwar Sakeena...
Mara Gaya Darya pe alamdar Sakeena..
2) Kuch der me hum tumse bhichad jayenge Beti
Phir laut ke wapes na Kabhi ayenge Beti.
Hone ko hain zakhmi tere Rukhsar Sakeena.
Sheh bole Mera kon hai gham khwar Sakeena...
Mara Gaya Darya pe alamdar Sakeena...
3) Ghazi ki wasiyat hai yahi aye mere aaqa.
Khaimon me na le jayiye Abbas ka lasha.
Sharminda hai yun tujhse Alamdar Sakeena.
Sheh bole Mera kon hai gham khwar Sakeena...
Mara Gaya Darya pe alamdar Sakeena...
4) kuza liye takti ho badi aas lagaye.
Ab koyi nahin hai Jo teri pyaas bujhaye.
Kousar pe sajegi teri Sarkar Sakeena.
Sheh bole Mera kon hai gham khwar Sakeena...
Mara Gaya Darya pe alamdar Sakeena...
5) Duniyañ se gaya leke ye hasrat tera saqqa.
Ab tujhko mayassar kahan bahon ka wo jhoola.
Karta tha bahut Ghazi tujhe pyaar Sakeena.
Sheh bole Mera kon hai gham khwar Sakeena...
Mara Gaya Darya pe alamdar Sakeena...
6) Ab tujhko suye shaam safar karna padega.
Har mod pe har koi sitam tujhpe karega.
Jeena tera hojayega dushwaar Sakeena.
Sheh bole Mera kon hai gham khwar Sakeena...
Mara Gaya Darya pe alamdar Sakeena...
7) Jab shame ghareeban me meri lash pe aana
Darya ki taraf Jake na Ammu ko jagana.
Tarpe ga tere gham me wafadar Sakeena.
Sheh bole Mera kon hai gham khwar Sakeena...
Mara Gaya Darya pe alamdar Sakeena...
8) Shabbir jo kehte the Sakeena se ye Qaisar.
Aur uski nigahen thi Hasan rahe wafa per.
Ab laut ke aayega na Jarrar Sakeena.
Sheh bole Mera kon hai gham khwar Sakeena...
Mara Gaya Darya pe alamdar Sakeena...