Arzu e karbala

- Mohammad Ali Zaidi (2023)


Aarzuye Arbaeen

Dil me yahi hai aarzu bus jb bhi jauga
mai Karbla se laut ke wapas na aaunga

Bechain ho rha hu ki jaunga kis tarah
Jazbat apne dil ke bataunga kis tarah
Wada Jo khud se Maine Kiya tha nebhaunga

Dekhe jo zaereen ke badte huye qadam
Dil me uthi ye aarzu maula ba chashme nam
Jana hua naseeb to paidal hi jaunga

Har zaere Husain ki khidmat karunga mai
Qadmo ko unke choom ke izzat karunga mai
Payaso'n ki yaad me unhe Pani pilaunga

Jab karbala ki simt Najaf se chalunga mai
Ek ek qadam bahisht ki janib badhunga mai
Chal kar malayeka ke paro par mai aaunga

Hongi Jo mushkelat Safar me mere kabhi
Rukh janibe najaf mai karunga basad tabhi
Mushkil kusha ko wasta de kr bulaunga

Gumbad mazare Shah ka aaega jab Nazar
Aansu bahenge dard se phat jaega jigar
Daalunga khak sar pe masaeb sunaunga

Abbas ke Alam ko mai chumunga baar baar
Aankho ko apni ashko se dhounga baar
Gazi k dar pe sar ko mai apne jhukaunga

Mai rauzaye husain me pahuchunga jis ghadi
Phir baith ke sunaunga nauhey ki har kadi
Faryad apni aapko maula sunaunga

Khaliq se ilteja hai ki aye rabbe zuljalal
Mar jau'n karbala me to hoga na phir malal
Maula se apne haqqe mohabbat nebhaunga

Sharib qalam ko rok do ab aao karbala
Pur dard ho sadaye mohd me marsiya
Bole husain aao mai har dam bulaunga