Shezada Ali Akbar

- Zaigam Rajani (2023)


Is baat se zahir hai
Rutba Ali Akbar ka
Hota hai azano mai
Charcha ali akbar ka

Shabbir jhulate te
Abbas ke jhule ko
Abbas jhulate hai
Jhula ali akbar ka

Poocha gaya Yusuf se
Jab Husn ke barre mai
Has ke kaha ye to hai
Sadqa Ali Akbar ka

E Hurr teri kismat ne
Kyu aaj ye karvat lee
Kya subho ko dekha ta
Chehra ali akbar ka

Ye rut-ba-e Akbar hai
Haider ke gharane mai
Aghoush hai phouphi ki
Jhula Ali Akbar ka

Us ma ka muqadar bhi
Kya khoob muqadar hai
Jis ma ko bhi miljaae
Sadka ali akbar ka

Poocha gaya jab shah se
Kyu khum hai kamar Mola
Bole ke utthaya tha
Laasha Ali Akbar

Bibi ne kaha baitthu
Kis tarha mai saaye mai
Phir tha hai nighaao mai
Chehra Ali Akbar