Aye mere baradaar

- Hasnain Abidi (2025)


Zainab(sa) Ne Kaha Parcham-e-Ghazi(as) Se Lipatkar
Ay Mere Baraadar
Kuch Der Mein Sar Se Mere Chin Jayegi Chaadar
Ay Mere Baraadar

1. Batlao Pharaire Pa Laga Khoon Hai Kis Ka
Dil Rota Hai Mera
Thamay Hue Aaye Hain Kamar Khaime Mein Sarwar(as)
Ay Mere Baraadar

2. Tum Sogaye Khaimon Mein Bhi Ab Aag Lagegi
Masnad Bhi Jalegi
Chhin Jaye Ga Ab Syed-e-Sajjad(as) Ka Bistar Ay Mere Baraadar

3. Kooza Liye Hatho'n Mein Ye Kehti Hai Sakina(sa) Dushwar Hai Jeena
Taskeen Doo'n Kya Kehke Usey Bolo Mein Aakhir
Ay Mere Baraadar

4. Ghar Mein Hain Sabhi Teen Shab-o-Roz Ke Pyase
De Kaun Dila Se
Gahware Mein Bechain Bohat Hain Ali Asghar(as)
Ay Mere Baraadar

5. Badh Badh Ke Sitamgaron Ne Tum Par Kiye Hamlay
Shane Bhi Nahi'n Thay
Is Haal Mein Tum Aaye Ho Ghoray Se Zameen Par
Ay Mere Baraadar

6. Jalti Hui Reti Pe Pade Hain Shah-e-Abrar(as)
Be Yaar-o-Madadgar
Badhta Hai Laeen Haath Mein Thamay Hue Khanjar
Ay Mere Baraadar

7. Behno'n Ka Teri Ab To Hai Allah Nigehbaa'n
Hoti Hain Pareshaa'n
Lootai'n Ge Sitamgaar Humein Khaime Jalakar
Ay Mere Baraadar

8. Is Gham Se Bura Haal Hua Jata Hai Mera
Dil Rota Hai Mera
Darbar Mein Haakim Ke Khari Hai Teri Khwahar
Ay Mere Baraadar

9. Kya Bainiya Nouha Kaha Sajjad Nazar Ne
Hasnain Se Sun Ke
Ro Ro Ke Yehi Kehti Rahi Zainab-e-Muztar(sa)
Ay Mere Baraadar