Abbas hai maula mera
- Syed Ali Arbaz Jafri (2025)
Abbas ka aashiq bhi hoon
aur hoon bhi salamat
mat samjho ke paimana-e-wafa tod diya hai
Abbas ki bahon ki qasam, karta juda mai
Ye haath to matam ke liye chod diya hai
Kya shaan hai kya martaba
Abbas hai Maula mera
Ab gham hai kya sab gham bhula
Abbas hai Maula mera
1.
Yeh Surate Sher-e-Khuda
yeh hai dua-e-Syeda
jagirdar-e-Karbala yehi to hai shehr-e-wafa
Babul Hawaij bawafa
Abbas hai Maula mera
2.
Kehtay hain sab ahl-e-aza
yeh hai Khuda bandah-e-wafa
iska alam sab se juda
kehti hai darya ki hawa
Ghazi jari aur bawafa
Abbas hai Maula mera
3.
Naukar hai jo Abbas ka
mansab usay Allah mila
koi Qalandar ban gaya
koi bana hai Aulia
Sehwan se aati hai sada
Abbas hai Maula mera
4.
Har majlis-e-Shabbir mein
tere alam ko tham ke
naray laga kar matami
Mushkil Kusha ke naam ke
naray lagatay hain sada
Abbas hai Maula mera
5.
Pani pe lehraya alam
dang ho gaye ahl-e-sitam
uskay huwe jab haath num
kar wa di gayi baazi qalam
darya ki maujon ne kaha
Abbas hai Maula mera
6.
Babul Hawaij aap hain
hajat rawai kijiyé
Arbaz aur Salman par
apna karam kar dijiye
aur Irtiza ne yeh kaha
Abbas hai Maula mera