Tum Chhod Kai Jaoge

- Syed Ali Arbaz Jafri (2025)


Haye Baba – Haye Baba

Tum chhoṛ ke jao ge to mar jaoongi Baba
Pehlu mai kisi kai nahin sou paoungi Baba

Tum jatay ho maqtal ko to acha chale jao
Sughra ki qasam Baba mujhe itna batao
Tum aaoge jab main tumhein bulwaoungi Baba

Mujhe se to juda hota nahin hai Ali Asghar
Zulfain meri suljhate bhaiyya Ali Akbar
Mehndi bhi mai Qasim se hi lagwaungi Baba

Maaloom hai nazar se mujhe dekhogay har gaam
Khamoshi se sehjaungi us waqt har gham
Main aapko hargiz nahin tarpaoungi Baba

Maqtal mai tumhain dhoondhne aayegi yeh dukhtar
Baalon se pakar kar mujhe kheenchayga sitamgar
Sayyadani hoon, yeh bhi usay batlaungi Baba

Yeh farz nahi hota hai beti kabhi bhi
Lekin mujhe maaloom hai hoga nahi koi
Khud aap ki mayyat ko main dafnaungi Baba

Azlan, Sakina ishi jumlay mein gham hai
Ae Baba, teri beti ki ab zindagi kam hai
Main soyi to phir jaag nahi paoongi Baba

Suntey rahey Rehan ke Sarwar ki zubaani
Achi nahi yeh baat — na roya karo Bibi
Aur bachi yeh kehti rahi — ghabraungi Baba