Haye Musiye Kazim Ke Baba Jafar E Sadiq

- Aqeel Abbas (2020)


Haye musiye kazim ke baba jafar e Sadiq (2)
Rote Hain Tere Gham me shia jafar e Sadiq...

Ghar basta hua aale payamber ka na dekha,
Har dor me saadat ko ummat ne sataya,
Kehta tha baqaiya ka ye roroke andhere,
Jis tarha hua shame ghareeba me ujaala,
Ghar Tera madine me Jaala, jafar....

Ummat ne Tumko Zehr e jafa phir khiladiya,
Kazim ke Sar pai kohe musibat Gira Diya,
Turbat main aaj zehra ko phir se ruladiya,
Manzar nazar main sabz qaba sa phiradiya,
Tukde hua Tera kaleja Jafar e Sadiq

Ehsan ham pe aapne mola ye kardiya,
Qaem ki aaj majalis O matam ka silsila,
Kaise Manate hai Gham E sarwar sikha Diya,
Hai apke hi Dam se ye tabaligh e karbala,
Ghar me hai jo farsh; e aza Jafar e Sadiq..

Hasnain O Ali maula shehnshah e Madina,
Rumaal ko hathon me uthe Hue Zehra,
Kulsoom bhi zainab bhi hain aur baali sakina,
Khud Aaye'n hai majlis me wo Mehdiye zamana,
Haye aapka lene ko pursa jafar e Sadiq...

Sab jinno malk kudsi hoore ho ya ghinma,
Sar pit te hain Gham Se Sabhi hoke pareshan,
Aur Musa e kazim ka bhi hain chaak gare'nban,
Aur chaahane waale bhi Hasan Saare hai ghiryaan,
Karte hai Tere Gham me noha Jafar e Sadiq...