Akbar Nahin Aye

- Syed Ali Arbaz Jafri (2025)


Haaye Akbar nahi aaye, maa dekhti reh gayi
Maa dekhti reh gayi, dil thaamein, Akbar nahi aaye

Khaime ke dar pe Bint-e-Ali
Jaati hai, kabhi laut aati hai
Maa ban ke jis ne paala, kyun na bikhraaye

Aaghosh ke paale betay ka
Gham jeenay nahi dayga usko
Maa gham ki maari, dukhyari kahin mar na jaaye

18 baras ka sher jari
Kuch der ko ghar mein aa jaaye
Maa behnai duaein karti rahi, daaman phelaaye

Khaimon ki tanabon se lipti
Weeran udaasi roti hai
Maidan lahu mein doob gaya
Gehrayei Huwaie Sayei

Khud dhula banai betay ko
Armaan to buhat hai dil mein magar
Maa kaise pisar ki shaadi ka armaan barhaaye