Mere Baba kahan ho
- Syed Ali Arbaz Jafri (2025)
Soye Maqtal Sakina yeh kehti chali
Mere Baba kahan ho, khabar lo meri
Shimar roknay wala koi nahin
Seeliyan roknay wala koi nahin
Shimar ki mai bohot jhirkiyaan kha chuki
Mere Baba kahan ho, khabar lo meri
Daurti hoon mai lashon ke jo darmiyan
Larkharatay hain paon, nikalti hai jaan
Phir nahin dhoondhna, mai agar kho gayi
Maar kar seeliyan, baliyan cheen ke
Sab ke baazu ko gardan se baandha mujhe
Saans lagta hai jaise ruki ab ruki
Kanpta hai badan, thartharata hai dil
Jab ghoor'ta hai woh, baith jata hai dil
Shimar ki mai bohot jhirkiyaan kha chuki
Aag ugal'tay huwe aasmaan ke tale
Daagh Karbobala ke woh apnay milay
Aayi hoon tumhein dhoondhti dhoondhti
Likh raha hai lahu se jo noha Nawaid
Aap ko de raha hai jo pursa Nawaid
Mangta hai jo, woh usko kar do ata