Tum Sakina ko Bhool Na Jana

- Irfan Haider (2024)


Hay Sakina, Sakina, Sakina (x 16).
Hay Sakina (sa) tera haq hai ke, tujhe yaad kiya jaaye.
Rone waalo Ghareeb e Zahra (sa) ki,
Ghareeb Beti (sa) ka ye nauha hai.
Jiske rukhsar bhi zakhmi, wo jiske kaan bhi zakhmi.
Aur daaman jalaa hua hai.
Jiska bachpan safar me guzra hai.
Uss Sakina (sa) ko yaad rakhna hai

Jab ridaa betiyoun ko pehnaana,
Tum Sakina (sa) ko bhool na jaana.
Jab bhi tohfe me baaliyan laana.
Tum Sakina (sa) ko bhool na jaana.

1.Jab moharram ki aathvi aaye,
Haazri karna ghar me Ghazi (as) ki..,
Yaad kar lena pyaas bachi ki..
Nazr paani pe Hay, nazr paani pe jab bhi dilwana..
Tum Sakina (sa) ko bhool na jana..
Jab Ridaa Betiyoun ko pehnaana..
Tum Sakina (sa) ko bhool na jana..
Sakina, Sakina (x8)

2.Be-kafan Baap (aa) ki wo Beti (sa) hai,
Khoon bhara kurta hai kafan jiska..,
Zaaero waasta Sakina (sa) ka...
Karbala jaake hay, Karbala jaake jab kafan laana..
Tum Sakina (sa) ko bhool na jana..
Jab Ridaa Betiyoun ko pehnaana..
Tum Sakina (sa) ko bhool na jana..

3.Ek chhoti si mashk bhi laakar,
Tum sajaana Alam pe Ghazi (as) ke..,
Door ho na Chacha (as) -Bhatiji (sa) se..,
Jab bhi ghar me Hay, Jab bhi ghar me saje azakhana..
Tum Sakina (sa) ko bhool na jana..
Jab Ridaa Betiyoun ko pehnaana..
Tum Sakina (sa) ko bhool na jana..

4.Chahate ho agar rahe raazi,
Tum se che 6 maah ka Ali Asghar (as) ..,
Ay azadaro in sabeeloun par..,
Naam pyaaso ke hay, naam pyaaso ke jab bhi likhwana..
Tum Sakina (sa) ko bhool na jana..
Jab Ridaa Betiyoun ko pehnaana..
Tum Sakina (sa) ko bhool na jana..
Sakina , Sakina (x8)

5.Waqt aakhir Sakina Bibi (sa) ne,
Bas wasiyat me ye kaha rokar..,
Dekho zindaan se rihaa hokar..,
Bhaiya Sajjad (as) hay, Bhaiya Sajjad (as) jab watan jaana...
Tum Sakina (sa) ko bhool na jana..
Jab Ridaa Betiyoun ko pehnaana..
Tum Sakina (sa) ko bhool na jana..

6.Dekho darti hai ye andheroun se,
Tha ye Umme Rabab (sa) ka nauha..,
Shaam ki aurtoun karo waada..,
Roz turbat pe hay, Roz turbat pe ek diyaa laana...
Tum Sakina (sa) ko bhool na jana..
Jab Ridaa Betiyoun ko pehnaana..
Tum Sakina (sa) ko bhool na jana..

7.Chhoti Zahra (sa) ka waasta zeeshan,
Radd nahi karte Shah e Karbobala..,
Dekho irfan ka hai ye daawa..,
Apne Daaman ko hay, Apne daaman ko jab bhi phailaana..
Tum Sakina (sa) ko bhool na jana..
Jab Ridaa Betiyoun ko pehnaana..
Tum Sakina (sa) ko bhool na jana..
Sakina, Sakina (x8)