Beta Abbas (Wasiyat E Mola Ali As)

- Qaimi Brothers (2024)


Zaqmi jab masjid e kufa se ali aaye Ghar
Roke farmane Lage hai Mera abbas kidhar
Di sada ai mere Sani mere mazloom pisar
Aake ab baap ki tum sunlo wasiyat dilbar

Hai wasiyat ye meri tum se ai beta abbas
Dhyan ab zainab o kulsoom ka rakhna abbas

1) Sar se bacho ke utha jab se hai maa ka saya
Mai ne bacho ko bade nazon se pala beta
Tum mere baad ho is Ghar ka sahara abbas

Hai wasiyat ye meri tum ....

2) Yad Amma ki unhen aane na paye dilbar
Samne zainab o kulsoom ke mumkin ho agar
Baat maa se bhi kabhi Hans ke na karna abbas

Hai wasiyat ye meri tum...

3) Gulshan e fatema zehra ki Kali hai zainab
Saaye me ismat o iffat ke Pali hai zainab
Aanch parde pa kabhi aane na Dena abbas

Hai wasiyat ye meri tum...

4) Mere qatil ko pakard kar koi le aaye agar
Sabr karlena magar, tegh uthana na pisar
Karbala ke lye Mai ne tumhe maanga abbas

Hai wasiyat ye meri tum...

5) Pani raton ko pilati thi usey maa zehra
Pyasa shabbir ko tum rehne na dena beta
Kaam saqqai ka in hathon se lena abbas

Hai wasiyat ye meri tum...

6) Saans ruk ruk ke meri chalne lagi hai beta
Aisa lagta hai ye ruqsat ki ghadi hai beta
Rakhna is Ghar ka qayal Aaj se beta abbas

Hai wasiyat ye meri tum...

7) Betiyon ko mere Jane se bahut hoga malal
Jab uthe mera janaza to rahe itna qayal
Sar se zainab ke Rida sarke na beta abbas

Hai wasiyat ye meri tum...

8) De ke abbas ke hathon pa wo dast e sarwar
Chal base Ghazi se haidar yahi Arham keh kar
Sheh ko hargiz na kabhi chordna tanha abbas

Hai wasiyat ye meri tum se ai beta abbas