Dar E Binte Payambar

- Farhan Rizvi (2024)


Juk Kar Salaam Karte The Jis Dar Pe Mustafa
Uske Makeen Par Hi Gazab Dha Diya Gya...
Ahmad Ke Madeene Me Bapa Ho Gya Mehshar
Ummat Ne Jalaya Hai Dare Binte Payambar

1 . Masoom Tha Duniya Me Wo Aaya Bhi Nahi Tha
Zahra(S.A)Ne Abhi Jula Julaya Bhi Nahi Tha
Mohsin Ko Kabhi Bhul Nahi Payegi Maadar

2 . Pasli Pe Rakhe Hath Imamat Ki Muhafiz
Shehzadi Chali Ban Ke Wilayat Ki Muhafiz
Darbaar Rasan Basta Jo Laaye Gaye Haider

3 . Sadma Ye Rakam Koi Qalam Kar Nahi Sakta
Darbaar Ka Manzar Me Rakam Kar Nahi Sakta
Zahra S.A Hain Khadi Kursi Pe Baithe Hain Sitamgar

4 . Qur,Aan Ne Di Jiski Sadakat Ki Gawaahi
Khud Us Se Fidak Ke Liye Hai Maangi Gawaahi
Tareekh Kabhi Bhul N Payegi Ye Manzar

5 . Zakhmi Hain Sabhi Ungliya Or Baazu Bhi Zakhmi
Ye Tooti Hui Pasliya Chalne Nahi Deti
Ik Hath Hai Pehlu Pe To Ik Hath Kamar Par

6 . Jab Guslo Qafan Dene Lage Binte Nabi Ko
Kaap Uththa Badan Or Na Rahi Taab Ali Ko
Zakhmo Pe Nazar Padte Hi Gash Kha Gye Haider

7 . Sadiya Hui Ummat Ke Sitam Jaari Hai Ab Bhi
Gaibat Se Madad Ke Liye Aa Jao Ya Mehdi
Saya Bhi Nahi Aapki Daadi Ki Lahad Par

8 . Rizwan Kabhi Subbat Alyya N Bhulana
Rudaade Game Fatema(S A)Farhaan Sunana
Hota Nahi Har Ak Ko Ye Sog Mayyasaar