Murjaya Hua Hai Jungle Mey
- Farhan Rizvi (2025)
Mujaraya Hua Hai Jangal Mein
Kyu Gulshan e Zehra Aye Badal
Pamaal e Hal e Taza Hain Har phool Hai Sukha Aye Badal
1. Daman Mein Liye Aja Pani Do Bund Barasde Maida mein
Pani Ki Talab Mein nikla Hain Masoom Sa Bacha Aye Badal
2- Pyaso Ki Tamanna Khak Hui Ab Pani Kaha Se Laoge
Dariya Se laie no ne Sheh Ka Uthwa Diya Khaima Aye Badal
3- Abbas Ko Mashkiza Dekar Upar Jo Sakina ne Dheka
Halka Sa Ishara Bachi ka Kya Tune Na Samja Aye Badal
5- Sunta Hu Ke Fouje Ada Bhi Muh Pher Ke Roti Jati Hai
Kis Tarah Se Dhikaya Tune Asgar ka Tadap Na Aye Badal
4- Hai Saqi E Kausar Ki Poti Kyu Kar Na Kare Tujh Se Shikwa
Maida'n Se Sakina Palti Hai Khali Liye Quza Aye Badal
6- Woh Fakhre Sulemah Ki poti Be Parda Chali Hai Balwe Mein
Tarikh Ghatao Ko Lakar Tu Karde Andhera Aye Badal
7- Barsaat Se Sari Duniya Ko Sheraab Kiya Tune Lekin
Sultan e Do Alam Ka Kunba Do Din Se Hai pyasaa Aye Badal
8- Ithna Tou Batade Tu Mujhko Kyoo'n shurk Zamee'n Hai Maqtal Ki
Kya Ran Me Pashe Qatl e Sarwar Kuch Bund Barasta Aye Badal
9- Sunta Hu Ke Gham Se Hota Hai Pattar Ka Jigar Pani Pani
Ab Tu Bhi Zara Akar Sunle "Hum,Ad " Ka Noha Aye Badal