Dar e zindaan par koi masooma
- Mir Hasan Mir (2025)
Dar e zindaan par koi masooma
Pardha karti hai yeh rokar nauha..
Baaba baaba baba baba..x2
Bahut dar mujh ko yahan lagta hai.
Bahut tanhaa hoon chale aao naa.
Baaba baaba baba baba..x2
1.khud aake dekhlo baba meri halat
Nahi pehchaan paogay meri surat.x2
Saahe bachpan mein masaheb itne.
Zayeefa dikhne lagi yeh dukhiya..
Baaba baaba baba baba..x2
2.Bada dushwaar hai is qaid mein jeena.
Bahut yaad araha hai aap ka seena.x2
Gaye ho jabse nahi soyee main sukoon se ab tak kabhi ek lamha.
Baaba baaba baba baba..x2
3.mujhe phir khabr mein lagne laga hai dar.
Nikala tha jinho ne lasha e asghar.x2
Woh zalim phir se palat aaye hain.
Phupi aur main hoon hayan phir tanha..
Baaba baaba baba baba..x2
4.main rowo le kab tak siskiyaan baba.
Bahut dukhti hai meri phasliyaan baba.x2
Sakina is dam hai kis halath mein.
Fakhat samjhengi yeh dadi zehra.
Baaba baaba baba baba..x2
5.Nazar aata nahi aankho ko malti hoon.
Sahara leke deewaro ka chalti hoon.x2
Pakard kar zulfain mujhe zalim ne.
Naa jane kaisa tamacha maara.
Baaba baaba baba baba..x2
6.lagey hai zakhm jitne sab dikhaongi.
Jab aaogay toh main sab kuch bataongi.x2
Bahut mara hai bahut tadpaya.
Mujhe logo ne samajh kar tanha.
Baaba baaba baba baba..x2
7.nadeem us waqt khud zindaan rota tha.
Sakina jis ghadi pardti thi yeh nauha.x2
Mujhe lagta hai ke ab ghut ghut kar.
Nikal jayega yahin dam mera...
Baaba baaba baba baba..x2
Dar e zindaan par koi masooma
Pardha karti hai yeh rokar nauha..