Meri Jaan Asghar

- Syed Dayeem Raza (2025)


Ye kehti thi madar meri jaan Asgher
Huwa tera Jhoola bhi veeran Asgher
Tu aaja ye maa hai pareshan asgher ..

1)suna hai ke wo tere qaad se bada tha
Wo teer-e-sitam jo gale par laga tha..2
Saha Tu ne kaise wo nadan asgher...

2)ye choota sa tohfa aye tashna dahan le
Jo sughra ne bheja ye kurta pahan le..2
Tera khoo'n bhara hai gerebaan asgher...

3)tujhe dhoondte aaye thy do sitamgar
Teri maa ne dekha hai aisa bhi manzar..2
Na koi tha tera nigehbaan asgher...

4)sitamgar ne ghutne se Seena dabaya
Mere saamne tujhpe Khanjar chalaya..2
Ujada yun mera gulistan asgher..

5)tere baap ne teri mayyat chupayi
Magar maa tera sar bacha to na payi..2
Mai sharminda tujh hoon is aan asgher...

6)tujhe kon lori sunayega ban me
Ke har samt lashe hi lashe hain ran me..2
Mere cheh(6) mahine ke mehman asgher...

7)tu maa ke bina ek din bhi na soya
Tujhe kon behlayega ab jo roya...2
Pada hai ilaqa ye sunsan asgher...

8)Agar saal bhar ki bhi tum umr pate
To ay laal hum teri mannat barhate..2
Huwa koi pora na Arman asgher..

9)tujhe dhoop me churd kar ja Rahi hoon
Teri lash par ye qasam kha rahi hoo ..2
Na baithugi saye me zeeshan asgher...

10)jo sahil ne Tera ye noha likha hai
Jise pardh ke dayeem bhi rone laga hai..2
Isse Mai ne bakhsha hai unwan asgher...