Mere Baba
- Meesum Abbas (2021)
Mere baba,main karu kya
Khaak par neend nahi ati hain (4)
1)Yaad..yaad ata hain mujhe reh reh kar
Ap..apka seena tha mera bistar
Aj..aj ye waqt para hain baba
Khaak..Khaak bistar hain andhera chadar
Din tadap kar main guzaru
raat matam me guzar jati hain
Mere .........
2) Kaun..kaun faryad sunega meri
Sath..sath mere hain meri tanhai
Kaan..kaan zakhmi hain jigar zakhmi hain
Khoo'n..khoon kano se abhi jari hain
Koi marham na dawa hain
Maut nazdeek hui jati hain
Mere...........
3) Shaam..shaam ko jake dare zindan par
Roz..roz main dekhti hu ye manzar
Laut..laut ke jaye parinde jab ghar
Dil..dil mera rota hain bas ye kehkar
Jane kab main jaungi ghar
Kab rihayi ki khabar ati hain
Mere............
4)Haye..haye wo sham e ghariba'n baba
Bhool..bhool sakti hi nahi ye dukhiya
Aag..aag khaimo'n me lagi jab baba
Jal..jal gaya aag se daman mera
Keh rahi thi main ye khud se
Tu yateemi ki saza pati hain
Mere...............
5)Neel..neel dekho mere rukhsaro'n ke
Ye..ye tamache ke nisha'n hain gehre
Main..main jo roti hu tumhare ghum me
Maar..maarta hain mujhe zalim ake
Jeesm qaidi ,rooh qaidi
Ye aseeri mujhe tadpati hain
Mere...............