Labbaik Ya Hussain

- Ali Deep Rizvi (2017)


- Labbaik ya hussain (2) × 2
- Aey karbala ke chaaradar deedar Ya Hussain....Labbaik ya hussain (2) × 2

1.) Afsos karbala mein hum nusrat na teri kar sake
Lekin ladenge aaj hum is daur ke yazeed se
Ban kar dikhayenge inhe mukhtar ya hussain

2.) Baato ka daur ye nahi maidan e jung bulata haii
Wo haqq ko jaan leta haii ispar wo jaan lutata
Hurr ki tarha nibhata hai kirdar Ya Hussain

3.) Aashur ko hussain ne naasir ki jo sada di thi
Wo hi sada to maqsad e shabbir ki baqa ki thi
Ab bhi sada hai barsare paikaar Ya Hussain

4.) Kurbaaniye hussain ye manzar hame dikha rahii
Utho hussainiyo chalo ab qaltgaah bula rahi
Utho tumhe bula rahe sardaar Ya Hussain

5.) Himmat hai kisme rok de jo matam e hussain ko
Jaari rakhenge hashr tak ham majlis e hussain ko
Hum sab hai jaan lutaane ko taiyyar ya Hussain

6.) Jis jis jagah yazidiyat apna ye sar uthayegi
Har us jagah hussainiyat use khaak mein milayegi
Ehd e wafa nibhayenge hubdaar ya Hussain

7.) Labbaik ya Hussain hi izzat ki raah dikhata hai
Ye keh ke hurr jahannum se jannat ki simt aata hai
Aashur ko wo banta hai salaar Ya Hussain

8.) Zinda rakhenge har jagah shabbir ke payaam ko
Tayyar hum hai har ghadi ab nusrat e imam ko
Hai jazba e shahadat se sarshaar Ya Hussain

9.) Mat alwida kaho kabhi Labbaik Ya Hussain se
Bolo imam haazir hai Labbaik ya Hussain pe
Hum to nisar kar denge har baar ya Hussain

10.) Zainab ne haq nibhaya hai Labbaik ya hussain ka
Naksha ulat ke rakh diya bibi ne sare shaam ka
Har zehn ka bana diya ye aar ya Hussain

11.) Rehbar bhi hai amal paira Labbaik ya hussain pe
Duniya dari huyi hai ab is naukar e hussain se
Haq kar raha hai ye ada deedar Ya Hussain

12.) Meri qaum ke mujahido ali deep ki hai ye sada
Labbaik ya hussain se ham hashr tak kare wafa
Mil kar kaho ke haazir hai gumkhwar ya Hussain

LABBAIK YA HUSSAIN (2) × 2