Zindan Khul Gaya Hai

- Rajab Ali Khan (2023)


Zindan Khul Gaya Hai Sakina Watan Chalo,
Sajjad Keh Ke Gir Pade Choti Si Qabr Par.. - 2

Mazloom Aise Gir Pada Turbat Pe Behan Ki,
Jaisa  Hussain The Gire Akbar Ki Lash Par..

1. Dekho Nahi Rahi Mere Hathoon Mein Ab Rasan,
Jane Laga Hai Qafila Ab Laut Kar Watan,
Lekin Tu Behan Sham Mein Qaidi Hi Reh Gayi,
Kha Kar Tamachay So Gayi Zindaan Ki Khak Par..

2. Karta Hoon Yaad Ro Ke Main Manzar Woh Dard Ka,
Kano Ke Zakhm Par Jo Tamacha Tujhe Laga,
Baba Ko Tu Sina Pe Sada Deti Reh Gayi,
Baba Sina Pe Rotay They Tab Tujh Ko Dekh Kar..

3. Amma Ki Tarha Tujh Ko Na Mil Payi Thi Rida,
Baba Ki Tarha Tujh Ko Kafan Bhi Na Mil Saka,
Pathar Bhi Khaye Sham Mein Tu Ne Meri Tarha,
Naqay Se Gir Ke Ho Gayi Teri Bhi Khum Qamar..

4. Main Le Ke Tujh Ko Sham Se Wapis Na Ja Saka,
Baba Ko Kya Bataon Main Ab Ja Ke Karbala,
Kurtay Mein Dafn Kar Ke Banai Teri Lehad,
Abid Ko Khoon Rulaye Ga Yeh Dard Umr Bhar..

5. Karbal Mein Chhin Gayi Thi Tere Sar Se Jo Rida,
Wapas Main La Chuka Hoon Usay Dekh Tu Zara,
Sar Par Main Tere Rakhta Rida Apne Hath Se,
Afsos Haye Sham Mein Tu Na Rahi Magar..

6. Amma Ke Bain Sun Ke Nikalti Hai Jaan Meri,
Kehti Hai Umr Bhar Na Woh Saye Mein Jaye Gi,
Kaise Uthaon Ujadi Hoi Maa Ko Tu Bata,
Teri Lehad Se Maa Ki Bhi Hatti Nahi Nazar..

7. Woh Rukhsat E Hussain Pe Zainab Ka Imtehaan,
Aisa He Aaj Phir Se Hai Zindan Ka Samaa,
Sajjad Ho Rahe Hai Juda Aise Behen Se,
Uthte Hai Ro Ke Qabr Se Girte Hai Qabr Par..

8. Likhoo Shahab Kis Tarha Mehshar Ka Marhala,
Tha Gham Ki Inteha Pe Bhi Abid Ka Hosla,
Zinda Behan Ki Qabr Se Uth Kar Chale Gaya,
Ahwal E Gham Sunanay Ko Baba Ki Qabr Par..