Suno Sana E Hussain

- Imran Datoo (2024)


Ana naseeb hui hurriyat ki aabo hawa
The tujh pe jo bhi ghulami ke din wo beet gaye

Ab apne sar ko utha ai dabi hui makhlooq
Yazeed haar gaya aur husain jeet gye

Suno sana e hussain

1. Farmaa rawaa e kishwar e yazdaa(n) hussain hai
Haajat rawaa e aalam e imkaa(n) hussain hai
Makhdoom e iqtidaar e sulaiman hussain hai
Abbas se wazeer ka sultaa(n) hussain hai
Ghangor baadalo(n) ke gharaane baras pare
Nalayn jhaarde to khazaane baras pare

2. Tashna labi mein nehre laban baant-ta hai ye
Dasht e khiza mein buwe chaman baant-ta hai ye
Talkhiye lab ko husne sukhan baant-ta hai ye
Had hai musaafirat mein watan baant-ta hai ye
Khairaat be misaal ataa be nazeer hai
Khud baadshaah baap janaab e ameer hai

3. Soya huwa har ek naseeba jaga diya
Tashna labi mein khayr ka darya bahadiya
Pal mein gadagaro(n) ko tawangar banadiya
Ab bhi ye puchte ho ke sarwar ne kya diya
Izzat bhikaariyo(n) ki barhadi hussain ne
Aadat hi maangne ki churaadi hussain ne

4. Dushwaariy e hayaat ko asaan kar diya
Mohsin hai qayenaat ke ehsaan kar diya
Ghurbat naseeb logo(n) ko dhanwaan kar diya
Itna diya hussain ne sultan kar diya
Shehr e sakhaa mein fasl e ataa kaatne laga
Jo bheek maangta tha wo khud baant-ne laga

5. Kausar ka jaam jaam haqeeqat shanaas hai
Dhaaro(n) mein iske shehd Se barrh kar mithaas hai
Har dushman e sabeel yahaa(n) par udaas hai
Munkir se barrh ke puchiye kyu(n) badhawaas hai
Maujon me zayeqa hai jo is darja chain ka
Kausar ne pauon dho ke piya hai husain ka

6. Mehshar ki dhoop aur wo khurshid e sholabaar
Hoga koi kisi ka jahaa(n) par na gham gusaar
Dozakh bhi hogi bhook se be chayn o be karar
Aise mein laaye jaayenge jis dam gunahgaar
Khaaliq kahega inka tarafdaar kon hai
Zahra kahengi inme azadaar kon hai