Ali ke aanay se

- Hasan Mujtaba (2024)


jaisay Ali ki tegh thi maidan ke liye
zikr e Ali hai nasal ki pehchan ke liye
kaabay mein dar Ali ke liye is tarha khula
jaisay ho muntazir koi mehman ke liye

bohat udaas khada tha woh aik zamane se
khila hai kaabay ka chehra Ali ke aane se

jabeen ko choom ke Haider ki mustufa ne kaha
Gauhar mila hai yeh Allah ke khazanay se

koi wali, koi ghazi, koi bana Shahbaz
abu turab ki chokhat pay sir jhukanay se

chitak ke kehta hai 13 Rajab ko yeh kaaba
Ali ko bhool nah pao ge tum bhulanay se

duniya mein jhalak Khuld ki aik baar dikha day
Allah Najaf ka mujhe darbaar dikha day
darwaaza bohat khoob hai par Sheikh mujhe to
kaabay ki woh tooti hui deewar dikhade

munafiqeen ke seenon mein aag lagti hai
jedare khanaye kaaba ke muskurany se

Ali ke ishq mein gar qaid hogayi mujh ko
Ali ki madah karoonga mein qaid khanaay se

Ali ki yaad mein ansoo baha raha hu hasan
Najaf bulale woh shayad isi bahanay se

nabi ka saya woh ban ke har aik jagah miley ga
Ali ki soorat rasool ko aaina miley ga
tamam peeron ki qabar par takhtiyon ko padh lo
har ik wali ka Ali se hi silsila miley ga

karodo dastaren jootiyon par rakhi milein gi
Ali ke dar pay har aik sultan pada miley ga
namaz ke baad masjiden saari band hon gi
Najaf mein shere khuda ka roza khula miley ga

Ali ke Allah ko zaroorat nahi makan ki
khuda ke ghar mein nusayrioyo ka kkhuda miley ga
mita sako to nishaan kaabay se tum mita do
fazaile Murtaza chhupanay se kya miley ga??