Likh Fatema Zahra Ki Sana

- Mir Hasan Mir (2024)


Ya Fatima Zehra - 4

Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada
Kar Dega Karam Tujhpe Khuda Aur Zyada
Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

Kausar Ko Ata Kar Ke Sada Di Ye Khuda Ne
Banta Hai Khadiza Ka Sila Aur Zyada
Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

Maa Ne Kaha Karni hai Mujhen Mazlisen Zehra
Beta Zara Mehnat Se Kama Aur Zyada
Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

Aasar-e-Nidamat Jo Padhe Hurr Ki Jabin Par
Shabbir Ne Rumaal Kasa Aur Zyada
Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

Menhdi Se Mulaqat Ho Yun Waqt Ki Chakki
Ae Bibi Zara Tez Chala Aur Zyada
Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

Wo Dekh Dua Deti Hain Hussnain Ki Madar
Matam Me Zara Haath Utha Aur Zyada
Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

Matam Ki Ibadat Ho Ya Sajde ki Ibadat
Dil Dono Namazon Me Laga Aur Zyada
Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

Raahib Ki Taraf Dekh Ke Shabbir Pukaren
Ye Saat Pisar Kaafi Hain Ya Aur Zyada
Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

Ik Noor Nazar Aayega Hamrah Ali Ke
Meraj Ka Parda Jo Utha Aur Zyada
Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

Jo Khud Ko Samajhti Hai Kaneez e Dar e Zehra
Us Sar Pe Zaroori Hai Rida Aur Zayada
Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada

Maukib Se Koi Pyasa Nahi Jaye Takallum
Zawwaron Ko Awaz Laga Aur Zyada
Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada