Magar Fatima Fatima Hai

- Mir Hasan Mir (2023)


Ya Fatima... Ya Fatima ..(2)
Fatima, Fatima.. Fatima, Fatima..(2)
Fatima Fatima..
Fatima.. Fatima

Har nabi hujjat e kibriya hai..(2)
magar Fatima, Fatima hai..(3)

Zikr qur'aan...
zikr qur'aa me sabka hua hai..(2)
magar Fatima, Fatima hai..(2)

1. Panjetan ko bana kar khuda ne kaha
hai mujassam mashiyat meri Mustafa
meri marzi ka malik Ali Murtaza
meri qudrat, Hussain o Hasan Fatima
khalq paacho..
khalq paacho ko maine kiya hai
magar..
magar Fatima, Fatima hai..(2)

2. Tujh pe khul jaega padh hadise kisa
kis tarah panjetan ka ta'arruf hua
Rabb ne sabit ye hum Fatima se kiya
ek hi zaat hai markaz e innama
khud Mohammad.. haan..
khud Mohammad bhi zere kisa hai..
magar..
magar Fatima, Fatima hai..(2)

Fatima, Fatima.. Fatima, Fatima..(2)
Ya.. Fatima..

3. Ek ki khatir haram ko sajaya gaya
ek ke hujre ko qibla banaya gaya
ek ke bete musalle pe aate rahe
ek ko kaabe ke andar bulaya gaya
umme haider... haan..
umme haider bhi ek Fatima hai..(2)
magar Fatima, Fatima hai..

magar Fatima, Fatima hai..(2)

4. Samarrah se yehi aa rahi hai sada
lailatul qadr ko kaun samjhe bhala
saare masoom hai hujjat e kibriya
hujjato ki hai hujjat magar Fatima
hum mein har ek..
hum mein har ek hijab e khuda hai
magar Fatima, Fatima hai..(2)
magar Fatima, Fatima hai..

Har nabi hujjat e kibriya hai..(2)
magar Fatima, Fatima hai..(3)

5. Mai taqabul karu kab ye auqat hai
har haqeeqat, haqeeqat ka asbat hai
sirf Umme Abiha woh ek zaat hai
maa Mohammad ki hona badi baat hai
bil yaqee'n.. haan..
bil yaqee'n aamna, aamna hai
magar Fatima, Fatima hai..

Aagayi Fatima.. Aagayi Fatima..(4)

Jibraeel e amee'n de rahe hai sadaa..
Aagayi Fatima.. Aagayi Fatima..
Aagayi Fatima.. Aagayi Fatima..

Aaj khush hai..
Aaaj khush hai bohot ashraful ambiya
Aagayi Fatima.. Aagayi Fatima..

Fatima.. Fatima.. Fatima.. Fatima..

6. Gir ke qadmo pe sheh ki wo kehta raha
aye ghafoor ur rahim, aye shah e karbala
tera mujrim tere ru-baru aagaya
sheh ne seene se Hurr ko laga kar kaha
jurm tera bohot hi bada hai..(2)
magar..
magar Fatima, Fatima hai..

magar Fatima, Fatima hai..(2)

7. Lanate kar rhe ho abhi tak wusool
kya hua zulm se tumko hasil husool
inki azmat na ki tumne dil se qubool
zalimo phir bhi baqi hai naame Batool
tumne karna ... haan..
tumne karna tha jo kar diya hai..
magar Fatima, Fatima hai..

magar Fatima, Fatima hai..(2)

8. Meri mutthi mein baghein hai kaunain ki
tere haatho mein nabze hai darain ki
kun tajalli tere naam ke ain ki
teri mehkoom madar hai Hasnain ki
Ya Ali...
Ya Ali tera rutba sewaa hai..
magar Fatima, Fatima hai..

magar Fatima, Fatima hai..(2)

Ya.. Fatima..

9. Umr se kam nahi hoti azmat kabhi
ek bacchi se iski sanad hai mili
apni dadi ki manind hai wo jari
kamsini mein wo shahi ulat kar rahi
sin bazahir...
sin bazahir sakina ka kya hai?
magar Fatima, Fatima hai..

Ya.. Fatima..(2)

10. Bole Fizza se Qambar zara ghaur kar
mere maula mein hai sab khuda ke hunar
raat bhar mad-he Haider wo karta raha
wajd taari tha Fizza pe us dam magar
usne sab... haan..
usne sab maan kar bhi kaha hai..(2)
magar Fatima, Fatima hai..

Shehenshahi se bhi qeemti hai
Habsh ko chhod kar
usse muh mod kar
Sayyeda ki..
Ye jo Fizza ne ki naukri hai
Shehenshahi se bhi qeemti hai

11. Deher mein dekhlo har jagah par
bohot mash'hoor inki wafa hai..
ek hai Abbas, aur ek hai Fizza
farq in mein bhala kaunsa hai
mujhse pucho to...
mujhse pucho to farq wafa ka..
ek hai chand aur ek chandni hai

Fatima.. Fatima.. Fatima.. Fatima..

12. Lakh mana gunehgar hai aadmi
hai azadaar ki haami binte nabi
Fatima ke takallum hai ma'ne yehi
hum ko dozakh mein jane na dengi kabhi
gar che isyaa'n...
gar che isyaa'n se daman bhara hai
magar Fatima, Fatima hai..

magar Fatima, Fatima hai..(2)
Fatima.. Fatima.. Fatima.. Fatima..(2)