Tasbihat e hazrat e zahra (Urdu)

- Aqeel Abbas (2021)


Rooyie lab haa
Noor o qadr o kausar o taha
Zikr e noorani e ashiq haa
tasbihaat e Hazrat e Zahra

Allahu akbar een hame jalal
Allahu akbar een hame shukooh
Allahu akbar dar rahe ALi
Fatime istade misleye kooh

Sallallahu alaik Ya Fatimeh..(4)

1. Ya Sayyeda, aye meri bibi aye Sayyeda
Aye Fatima, aye Marziya
Aye qalb e Mustafa o Murtaza
ghum kardu aap ka jo baya'n
gir jaye naa kahi'n aasma'n
ho jaega fanaa ye jaha'n
gar na ho zaat aapki meherba'n

Sallallahu alaik Ya Fatimeh..(4)

2. Ya Sayyeda, 
Kaabe par jo parda laga hai
kaabe ke sar par jo saja hai
saaya aapki rida ka hai
ghar Allah ka ghar aapka
masjid mein khulta hai darr aapka
peshe rab dil e athar aapka
sajde mein hai sar aapka

Sallallahu alaik Ya Fatimeh..(4)

3. Ya Fatima,
kya kya na ghum tumne hai saha
pehlu par jab tere darr gira
Mohsin jis dum be jaa'n hua
haye wo tere ghum ki baat
din mein ho to ho jaye wo raat
hai laa tadat ghum ke saath
haye haye wo teri, ek zaat

Sallallahu alaik Ya Fatimeh..(4)

4. Ya Fatima,
dar pehlu pe jis dum gira
aankho se ashk e nam gira
sar par yu kohe ghum gira
Mohsin ke khoo'n se tar-ba-tar
haye haye wo tera jigar
khoo'n aluda hai jo nazar
tere hi ghum ka hai asar

Sallallahu alaik Ya Fatimeh..(4)

5. Ya Sayyeda,
darbar mein tujhko bulwaya
as'haab ne tujhko rulwaya
haq ko tere na-haq khaya
yu Zarha ko naraaz kiya
haq bachho ko hargiz na diya
haye haye roke tune kaha
toote hai sitam mujhpar baba

Sallallahu alaik Ya Fatimeh..(4)

6. Ya Sayyeda,
Ya Fatima Zahra ho karam
ho sar pe mere ghazi ka alam
ho chashm ghume sheh mein namm
beemar shifa tumse paaye
ye dunya dawa tumse paaye
muflis bhi ghiza tumse paaye
har ek ataa tumse paaye

Sallallahu alaik Ya Fatimeh..(4)