Band e kafan

- Ahmed Raza Nasiri (2023)


Maamta jab mayyat e Zahra ko tadpane lagi
lab hile, mayyat ke "aaja laal" farmane lagi

Bande kafan ko todke kehti hai Fatima
aaja hussain aa

Maa teri muntazir hai mere laal aa bhi jaa
aaja hussain aa
Bande kafan ko todke kehti hai Fatima
aaja hussain aa

1. Mamta hai kya ye koi bhi pehchanta nahi
maa mar chuki hussain, magar maamta nahi
tadpa na maamta ko, gale se mujhe laga
aaja hussain aa

Bande kafan ko todke kehti hai Fatima
aaja hussain aa

2. Taqat nahi hai ab to dil e beqarar mein
phaile hai mere haath tere intezar mein
ghurbat mein kaise jaungi, tujhse mile bina
aaja hussain aa

Bande kafan ko todke kehti hai Fatima
aaja hussain aa

3. Marne ke baad bhi meri aankho mein noor hai
rukhsat meri muhaal hai, tu mujhse door hai
roki hui hai sirf teri chaah mein qaza
aaja hussain aa

Bande kafan ko todke kehti hai Fatima
aaja hussain aa

4. Jee chahta hai aaj mai, tujhko duaein du
padh kar durood mai teri gardan ko choom lu
yeh akhri kalaam hai, hona hai phir juda
aaja hussain aa

Bande kafan ko todke kehti hai Fatima
aaja hussain aa

5. Uski mujhe khabar hai sitam jo sahega tu
karbobala ke dasht mein pyasa rahega
naize pe hoga sar jo tera woh mujhe dikha
aaja hussain aa

Bande kafan ko todke kehti hai Fatima
aaja hussain aa

6. Saaso se mera ab koi rishta nahi raha
meri to pasliyo'n se bohot khoon beh chuka
ab aur seh na paungi mai koi karbala
aaja hussain aa

Bande kafan ko todke kehti hai Fatima
aaja hussain aa

7. Aisa kabhi na koi tera imtehan ho
be dum na tere saamne kadiyal jawan ho
leja hussain maa ki yeh hasrat bhari dua
aaja hussain aa

Bande kafan ko todke kehti hai Fatima
aaja hussain aa

8. Yasir kisi ki maa ko yeh sadma nahi mile
Ahmed kabhi na maa koi bete se yu kahe
jaise Batool e paak ne odhe kafan kaha
aaja hussain aa

Bande kafan ko todke kehti hai Fatima
aaja hussain aa