Aaj chup hogayi Fatima

- Farhan (ALI WARIS) (2023)


Fatima Fatima..(2)
Fatima... Fatima

Apne bacho se aasu chupaye hue
ro rahe hai Ali sar jhukaye hue
ghar hai veeran kaisi yeh raat aagayi
ruk chuki hai sadaa.. haye tasbeeh ki
chhod ke chal basi Fatima
aaj chup hogayi Fatima

Mazlooma Ya Zahra
Mazlooma Ya Zahra

Aaj chup hogayi Fatima
har sitam seh chuki Fatima

Aaj chup hogayi Fatima
har sitam seh chuki Fatima
Aaj chup hogayi Fatima

Mazlooma Ya Zahra
Mazlooma Ya Zahra

1. Jab bhi royi hai yeh baap ki yaad mein
log bole Ali, Fatima se kahe
itna girya humein sone deta nahi
raat mein roye ya din mein roya kare
aye madine ke logo suno
ab nahi royegi Fatima
Aaj chup hogayi Fatima

har sitam seh chuki Fatima
Aaj chup hogayi Fatima

Mazlooma Ya Zahra
Mazlooma Ya Zahra

2. Haal apna kisi ko suna naa saki
is tarah darr gira ke utha naa saki
bus isi dard ne maar dala ise
apne Mohsin ko bhi yeh bacha naa saki
zakhmi pehlu ka ghum bhool kar
sirf roti rahi Fatima
Aaj chup hogayi Fatima

har sitam seh chuki Fatima
Aaj chup hogayi Fatima

Mazlooma Ya Zahra
Mazlooma Ya Zahra

3. Paon uthte na the itni zakhmi thi woh
apne ghar mein bhi ruk-ruk ke chalti thi woh
uski tooti hui thi sabhi pasliya'n
kitni takleef mein saans leti thi woh
apne baba ke hi sheher mein
kitni mazloom thi Fatima
Aaj chup hogayi Fatima

har sitam seh chuki Fatima
Aaj chup hogayi Fatima

Mazlooma Ya Zahra
Mazlooma Ya Zahra

4. Ghum se phat-ta hai dil yeh batate hue
jab tamacha sitamgar ne maara use
has raha tha laee'n, saamne tha Hasan
sakht sadma tha yeh ek maa ke liye
apna chehra chupate hue
khaak par gir gayi Fatima
Aaj chup hogayi Fatima

har sitam seh chuki Fatima
Aaj chup hogayi Fatima

Mazlooma Ya Zahra
Mazlooma Ya Zahra

5. Kab kisi ko bhi dekha hai is haal mein
yeh zaeefa hai attharwe(18) saal mein
ghum uthaye hai itne kamar jhuk gayi
aagayi hai safedi har ek baal mein
ab na aakar sataye koi
haan bohot thak chuki Fatima
Aaj chup hogayi Fatima

har sitam seh chuki Fatima
Aaj chup hogayi Fatima

Mazlooma Ya Zahra
Mazlooma Ya Zahra

6. Jab Ali ke gale mein rasan thi bandhi
Ya Ali kehke yeh peeche peeche chali
zalimo se Ali ko chhudate hue
haath par taziyane bhi khaati rahi
haan magar aaj rote hue
keh rahe hai Ali Fatima
Aaj chup hogayi Fatima

har sitam seh chuki Fatima
Aaj chup hogayi Fatima

Mazlooma Ya Zahra
Mazlooma Ya Zahra

7. Ghar se Zeeshan o Farhan mayyat uthi
qabr ke paas jab leke pohche Ali
utthe do haath turbat se aayi sadaa
saunp do aye Ali mujhko beti meri
rakhke turbat mein bole Ali
lijiye ya nabi Fatima
Aaj chup hogayi Fatima

har sitam seh chuki Fatima
Aaj chup hogayi Fatima

Mazlooma Ya Zahra
Mazlooma Ya Zahra