Ek yateema aisi bhi thi

- Syed Raza Abbas Zaidi (2023)


Raah mein naaqe se jab gir gayi, chhoti Zahra
god mein ek zaeefa ne use thaam liya
sar pe jab haath rakha, roke sakina ne kaha
jab se baba se mai bichdi hu, bohot maara gaya
mere gaalo pe tamacho ke nisha'n hai bibi
tumne dekhi hai mere jaisi yatima koi?
baat jab yeh suni, woh bhi rone lagi
phir zaeefa sakina se kehne lagi

Tumse pehle ek yateema aise bhi thi..(2)

1. Haan tumhare watan mein hi rehti thi woh
badshah e madina ki beti thi woh
baap ke baad itne masaeb pade
apne ghar mein sahare se chalti thi woh
ghum uthati rahi, kham kamar ho gayi
naujawani mein hi jo zaeefa hui

Tumse pehle ek yateema aise bhi thi..(2)

2. Zalimo ne yu baba ka pursa diya
jalta darwaza uspe giraya gaya
darr ke niche thi woh darr hata na saki
haath bhi jal gaye, pehlu zakhmi hua
log chal kar yaha'n se gaye jab waha'n
paao'n rakh rakhke  todi gayi pasliya'n

Tumse pehle ek yateema aise bhi thi
Wo zaeefa kahani sunati rahi
aur masoom aasu bahati rahi

3. Gaal neele hai jaise tumhare abhi
uske galo ki rangat bhi aisi hi thi
saamne usko beto ke maara gaya
waqt yeh na kisi maa pe aaye kabhi
shahzadi suno, kitni bebas thi woh
ghar mein baccho se chehra chupati thi jo

Tumse pehle ek yateema aise bhi thi..(2)

4. Jis tarha tere kaano se hai khoo'n rawa'n
kaan uske bhi zakhmi the aye meri jaa'n
itni shiddat se zalim ne maara use
toot kar khaak pe gir gayi baliya'n
beti bin baap ki, dard seh na saki
haath kaano pe rakh kar woh roti rahi

Tumse pehle ek yateema aise bhi thi
Wo zaeefa kahani sunati rahi
aur masoom aasu bahati rahi

5. Pani uth uthke jisko pilati thi woh
loriya'n deke jisko sulati thi jo
haath chadar mein usse chupane lagi
haath phaila ke jisko bulati thi woh
kaise kehti woh maa, mere dil, meri jaa'n
taziyano se zakhmi hai sab ungliya'n

Tumse pehle ek yateema aise bhi thi..(2)

6. Uska marna bhi sabse chupaya gaya
chauda(14) logo mein ghar se janaza utha
uski chalees(40) qabrein banayi gayi
bus yeh sunte hi bacchi ne rokar kaha
aye zaeefa suno, meri dadi thi woh
mujhko batao ke tum kaun ho?

Haye,
haaye haye zahra
haye,
haaye haye zahra

7. Haath pehlu se apne uthate hue
zakhmi chehre se parda hatate hue
aye Raza aur Zeeshan rone lagi
ye Sakina ko Zehra batate hue
mera wirsa ho tum, mera chehra ho tum
ab samajh aaya kyu choti Zahra ho tum

Haye,
haaye haye zahra
haye,
haaye haye zahra