Qabr Zahra ki banana

- Shahid Baltistani (2023)


Sayyeda Sayyeda

Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2)
Phir nisha'n us ka mitana..(2), koi aasaan na tha

Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2)

1. Baad baba ke ajab aalam e tanhayi tha
aur phir saara madina hi, tamashayi tha
Fatima par wo zamana..(2)
koi aasaan na tha

Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2)

2. Haath paband hai gardan mein, hai jiske rassi
hai wo mazloom mera waali, zamane ka wali
jaake darr darr pe batana..(2)
koi aasaan na tha

Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2)

3. Pasliya'n toot ke yu choor thi shehzadi ki..(2)
karne lagti thi jo khaliq ki, ibadat bibi
haath pehlu se hatana..(2)
koi aasaan na tha

Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2)

4. Pucha zainab ne jo baalo mein safedi kyu hai?
roke beti se faqat itna kaha zahra ne
bhare darbaar mein jana..(2)
koi aasaan na tha

Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2)

5. Mekh darwaze ki pehlu mein gadhi thi lekin
dard saans bhi lena tha, jaha naa mumkin
phir bhi haider ko bachana..(2)
koi aasaan na tha

Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2)

6. Thi wo ghurbat ki bohot sakht ghadi Zahra par
qatl mohsin bhi hua mujhpe, gira jalta darr
ghum yeh haider ko batana..(2)
koi aasaan na tha

Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2)

7. Qabr e Zahra pe yeh kehte the Ali ro rokar..(2)
tha mere waaste asaan, uthana khaibar
tera taboot uthana..(2)
koi aasaan na tha

Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2)

8. Maamta maa ki Raza hum se raqam kaise ho
haaye darwesh ke us dard mein bhi baccho ko
apne pehlu mein sulana..(2)
koi aasaan na tha

Qabr zahra ki banana koi asaan na tha..(2)