Ya Fatima

- Meesum Abbas (2023)


“Tumne humko na bhulaya, humne tumko na bhulaya”

Ya fatima salam ullah alaiha

1. Tujh pe shahzadi e kaunain meri jaan fida
kya mila tujhko zamane se masaib ke siwa
baad paighambar e Islam hui aur jafa
cheeni jagir fidak baap ka wirsa na diya
tujhko jhuthlaya gaya
kitna tadpaaya gaya
haye afsos Muhammad ka chaman loot liya

Ya Fatima salamullah alaiha

2. Woh jo rehte the shifa’at ke talib gaar sabhi
agaye ghar ko jalane woh sitamgaar sabhi
tune aayaat sunadi sar e darbaar sabhi
phir bhi jhutlaate rahe tujhko gunahgaar sabhi
tune jab noha kiya
hans diye ahl e jafa
aur qur'an ki aayat ne yeh bayn kiya

Ya Fatima salamullah alaiha

3. Pasliyan toot gayi jalta hua dar jo giraa
aur mohsin ki shahadat ka tujhe dard mila
roye is baat pe haider jo tujhe ghusl diya
ta dam e marg tera haath na pehlu se hata
kyun chupaya tha bhala
tune yeh zakhm e jafa
mai tere baad isi baat pe hu mehwe buka

Ya Fatima salamullah alaiha

4. Maa chali jaaye to lagta hai khuda rooth gaya
sayebaa'n koi nahi duniya mein maadar se bada
meri bibi teri mayyat pe yeh beto'n ne kaha
neend raaton ki gayi aap ka saya jo utha
humko tadpaao nahi'n
chhod ke jao nahi'n
ab kahan paayenge hum aap ke a'nchal ki hawa

Ya Fatima salamullah alaiha

5. Main tere naam ki tasbeeh jo padhta hu kabhi
khoon rulati hai mujhe teri musibat bibi
woh Ibadat woh musalle pe teri noha gari
haath ek pehlu pe ek haath se tasbeeh padhi
woh rukoo aur sujood
teri gurbat pe durood
Is aziyat mein namazein na hui teri qaza

Ya Fatima salamullah alaiha

6. Ek pal ko bhi tere gham ko na mein bhool saka
teri marqad ka suna phir mein baqayya pohcha
woh udasi, woh andhera, woh sitamgar fiza
haye marqad ki alamat ko bhi rehne na diya
rauza ban jaye tera
yeh hai armaan mera
phir wahan jaayein ziyarat ko sabhi ahl e aza

Ya Fatima salamullah alaiha