Teri ummat ne mere dar ko jalaya baba

- Waqas Haider (2022)


Baba baba... baba baba, haye baba

Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba..(2)
Phir wo jalta hua darr mujh pe..(2), giraya baba
Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba..(2)

1. Baith kar padhti hu mushkil se namaz e shab bhi
phir bhi abbas ki khilqat ki dua bhooli nahi 
jab bhi zakhmi hue hatho'n ko..(2), uthaya baba

2. Laut kar aayi to chehra bhi mera zakhmi tha
meri zainab ko meri peshi ka pehla nauha
mere baalo ki safedi ne..(2), sunaya baba

3. Kaunsa darr hai jaha'n aap ki beti na gayi
baat sunna to kuja, yu hui izzat meri
koi darwaze se bahar..(2), nahi aaya baba

4. Le chale qaidi bana kar jo Ali ko dushman
maine chhoda nahi haider ki aba ka daaman
taziyano ne magar mujhse..(2), chhudaya baba

5. Zakhmi halat mein bhi dehleez se bahar aayi
aur aliyun waliullah bacha kar laayi
ahad jo maine kiya tha wo..(2), nibhaya baba

6. Arsh aur farsh pe mohsin hua kohram bapa
jis ghadi ro ke wilayat ki shahida ne kaha
mujhko has has ke zamane ne..(2), rulaya baba

Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba..(2)