Eid e zahra Manqabat

- Miscellaneous (2014)


Eid e zahra
aaj duniya ko yeh batana hai
eid e zahra hai muskurana hai

Har soo hai khushiyo ka samaa
nazre uthake dekho jaha'n
bachha budha ho ya jawa'n 
bas hai qasida wird e zaba'n

aaj duniya ko yeh batana hai
eid e zahra hai muskurana hai

Ho Eid e zaha, ya ho ghadeer
bus momin hi manaenge
duniya mein munafiq jitne hai
sab jal jalke mar jaenge

aaj duniya ko yeh batana hai
eid e zahra hai muskurana hai

Aaj ka din hai khushiyo ka
abid ka dil shad hua
jo bhi dushman sarwar ka
uska ghar barbad hua

aaj duniya ko yeh batana hai
eid e zahra hai muskurana hai

Bay'at ka sawal jo karte the
wo haath nahi ab uth sakte
shabbir ke qatil the jitne 
mukhtar ne maare chun chun ke

aaj duniya ko yeh batana hai
eid e zahra hai muskurana hai

Mukhtar teri azmat ko salam
mukhtar teri himmat ko salam
mukhtar teri taqat ko salam
mukhtar teri jurrat ko salam

aaj duniya ko yeh batana hai
eid e zahra hai muskurana hai

Qaunain mein jiska hai charcha
jo hadiyo maula hai mera
aghaz e imamat hai unka
hai taj e imamat sar pe saja

aaj duniya ko yeh batana hai
eid e zahra hai muskurana hai

Maula ho khush to khush hona
jab ho ghamgee'n to ghum karna
yeh maqsad e khilqat hai mera
zahra se jaza mai paunga

aaj duniya ko yeh batana hai
eid e zahra hai muskurana hai

Jo kehte hai maula haider
woh sabse better lagte hai
jo sunte nahi zikr e haider
humko wo cheater lagte hai

Batla ta hai hum ko qur'aan
haider ki wilayat hai eema'n
ghafil hai wila se jo insaa'n
dar asl hai wo insa'n shaita'n

aaj duniya ko yeh batana hai
eid e zahra hai muskurana hai

Hai jaan aliyun waliyullah
Hai shaan aliyun waliyullah
eeman aliyun waliyullah
pehchan aliyun waliyullah

aaj duniya ko yeh batana hai
eid e zahra hai muskurana hai