Mai sakina hu mujhe na maro

- Irfan Haider (2023)


Haaye..
Betiyo waalo suno..

Ek shehenshah ki beti ka safar
har tamache pe jo kehti thi yehi ro ro kar
Baba... 
Baba...
Baba... Baba..

Jaan, baba ki wo shehzadi, ghazi ki bhatiji
Haye, pardes me bichdi baba se wo bacchi
Karbala se jo chali sham talak roti hui
haath galo pe rakhe jab bhi jaha'n se guzri
jisne chaha use mara, wo yehi kehti rahi

Main..
Main sakina hu mujhe na maro
Main..
choti zahra hu mujhe na maro
Haye sakina, haye sakina, haye sakina


Baad baba ke jab sham e ghariba aayi
khaimo mein qayamat laayi
haaye,
tumne cheeni meri baliya'n
khoo'n hai kano se ab bhi rawa'n
aur kurta bhi jala mera

Cheen li sar se rida qaidi banaya tumne
phir gala bandh ke panjo pe chalaya tumne
kabhi chalte hue naaqe se giraya tumne
Main..
ab yatima hu mujhe na maro
Main..
choti zarha hu mujhe na maro.. 

Main..
Main sakina hu mujhe na maro
Main..
choti zahra hu mujhe na maro
Haye sakina, haye sakina, haye sakina


Mere ammu ko yeh manzar na dikhao zalimo
gir jaega sar naize se
haaye,
dekho zakhmi hai chehra mera
raah mein itna maara gaya
kuch to ehsaas karo mera

sare abbase ke yun aage na lao mujhko
khaich kar baal tamache na lagao mujhko
kaun hai kis se kahu aao bachao mujhko
Main..
besahara hu mujhe na maro
Main..
choti zarha hu mujhe na maro.. 

Main..
Main sakina hu mujhe na maro
Main..
choti zahra hu mujhe na maro
Haye sakina, haye sakina, haye sakina


Kamsini mein bhi nazar aati hu dadi jaisi
ghum itne sahe Mainne
haaye,
dekho girti sambhalti hu Main
ab sahare se chalti hu Main
kitna mushkil hai safar mera

Char(4) barso mein hi ghurbat ka ajab aalam hai
mere baalo'n mein safedi hai kamar kham hai
saans leti hu to lagta hai labo'n par dam hai
Main..
ab za'eefa hu mujhe na maro
Main..
choti zarha hu mujhe na maro.. 

Main..
Main sakina hu mujhe na maro
Main..
choti zahra hu mujhe na maro
Haye sakina, haye sakina, haye sakina


Qaid khane mein jab aayi to yeh manzar dekha
har samt andhera tha
haaye,
phir sakina ne rokar kaha
haaye dum mera ghutne laga
mujhko le jao mere baba

Phir kaha shimr ye zindaan jise kehte hai
kya meri umr ke bachhe bhi yaha'n rehte hai
yaad baba ki jab aaye to sitam sehte hai
Main..
ek dukhiya hu mujhe na maro
Main..
choti zarha hu mujhe na maro.. 

Main..
Main sakina hu mujhe na maro
Main..
choti zahra hu mujhe na maro
Haye sakina, haye sakina, haye sakina


Haaye..
Ek din aisa bhi aaya dare zindaan khula
saamne beti ke jab baap ka sar laaya gaya
zakhmi chehre pe sakina ke gire jab aa'nsu
shabbir ne aankhein kholi
haaye,
muh pe beti ne jab muh rakha
baap ke sar se aayi sadaa
tujhpe qurbaan tera baba

Kaisi zeeshan aur irfan e azaa ghurbat thi
beti khamosh hui sunke sadaa baba ki
lene aaya hu tumhe ab na kahogi bibi
Main..
Main sakina hu mujhe na maro
Main..
choti zarha hu mujhe na maro.. 

Main..
Main sakina hu mujhe na maro
Main..
choti zahra hu mujhe na maro
Haye sakina, haye sakina, haye sakina

Haye sakina....