Tumhari Beti Ki Duniya Ujar Gayi Baba

- Syed Abutalib Shah (2023)


Tumhari beti ki duniya ujar gayi baba (x3)
Sakina ab wo sakina nahi rahi baba

Tumhari beti ki duniya ujar gayi baba

Na qaid ho ke mai zindaan e sham mai ati
Tumhare sath hi karbo bala mai reh jati
Mere gale pe churi kiyu nhi chali baba

Tumhari beti ki duniya ujar gayi baba (2)

Wo daur aur tha tum naaz jab uthate the
Khud apne hathon khana mujhe khila te the
Tamache khaati hai ab meri qamsini baba

Tumhari beti ki duniya ujar gayi baba (2)

Ay kaash ap ishara agar ye farmate
Chacha ki tarha se chahe ye hath kat jate
Mai hath hata ti na gardan se apki baba

Tumhari beti ki duniya ujar gayi baba (2)

Aziyato se musalsal guzarte hi rahe
Tamache mujhko jawaban wo marte hi rahe
Mai qatilon se rida mangti rahi baba

Tumhari beti ki duniya ujar gayi baba (2)

Jahan se guzri khule sar ye kehrahe the sabhi
Ye karbala ke gareebul watan ki hai beti
Gareeb hogayi beti ameer ki baba

Tumhari beti ki duniya ujar gayi baba (2)

Tum ank khol ke dekho to ek baar idher
Nishan gale pe rasan ka hai neel chehre par
Batao ajre risalaat hai kiya yahi baba

Tumhari beti ki duniya ujar gayi baba (2)

Ye haal dekh ke beemar bhai rota hai
Musibato ka wo mujhe par pahar toota hai
Qamar hai chaar baras mai juki huwi baba

Tumhari beti ki duniya ujar gayi baba (2)

Na jane kab se sitamgar the muntazir mere
Har ek mor pe pathar the muntazir mere
Phophi ke sath sakina jahan gayi baba

Tumhari beti ki duniya ujar gayi baba (2)

Wo sheh ke sar se takalum ye roke kehti thi
Mai qaid khane se azaad ho nahi hosakti
Tamam hogi yahi meri zindagi baba

Tumhari beti ki duniya ujar gayi baba (2)
Ko