Maa Dekh Rahi Hai

- Kazmi Brothers (2023)


Cheh mah ka mujahid sue maaidaan chala hai
Maa dekh rahi hai

Chehra bada nazuk hai badi garm hawa hai
Maa dekh rahi hai
Cheh mah ka mujahid sue maidaan chala hai
Maa dekh rahi hai

Zalim tujhe iss baat ka ehsaas nahi hai
Cheh maah ka bacha hai yeh abbas nahi hai
Kamsin ali asghar se tera teer bada hai
Maa dekh tahi hai
Cheh maah ka mujahid...

Ay behn tere samne baba k hain haalat
Ab shaame ghareebaa ko hi hoti hai mulaqat
Mud mud k sakina ki taraf dekh raha hai
Maa dekh rahi hai
Cheh mah ka mujahid...

Hurmal ne kamaa khenchi toh larzi yeh zamee hai
The saamne khayyaam tabhi ussko yaqee hai
Parda badi bechaini se khaime ka hata hai
Maa dekh rahi hai
Cheh mah ka mujahid...

Allaa mere allaa yeh duhaai hai duhaai
Ummat ne sayyada ki yun luti hai kamai
Ek behn ne bhai ka lahu muh pe mala hai
Maa dekh rahi hai..
Cheh mah ka mujahid...

Socha tha k jee legi woh yaado k sahare
Ummat ne jala daale hai armaan bhi saare
Asghar tera jhoola tera kurta bhi jala hai
Maa dekh rahi hai
Cheh mah ka mujahid...

Hai hajra yaqub o barahim k khamsar
Sar chand se bete ka chadha nauke sina par
Pabande rasan phul si beti ka gala hai
Maa dekh rahi hai
Cheh mah ka mujahid...

Imran mujhe quwwate tehreer nahi hai
Kaise main likhu teer k yeh teer nahi hai
Asghar ki taraf chal padhi tezi se qaza hai
Maa dekh rahi hai
Cheh mah ka mujahid...