Mohammad Haye Mohammad

- Miscellaneous (2014)


Mohd Hai Mohd Suno Faryaad Mohd

1) Jallad Aasteen Chadhata Hua Chala
Khanjar Ko Ungliyo Pe Firaata Hua Chala
Majme Ko Raaste Se Hataata Hua Chala
Arkaane Deene Haq Ko Hilaata Hua Chala

Ab Kya Bataaoo Paao Rakha Kis Makam Par
Phat-Ta Hai Sina Aale Shahe Tashnakam Par

2) Roohe Rasool Kehti Hai Jallad Rehem Kar
Ya Sina Mera Sina Hai Ye Sar Hai Mera Sar
Ye Dil Hai Mera Dil Ye Jigar Hai Mera Jigar
Ye Mera Noore Ain Hai Ye Hai Mera Pisar
Tu Baitha Hai Husain Dilawar Ke Sine Par
Ye Laut-Ta Tha Tere Payambar Ke Sine Par

3) Zehra Pukaari Arshe Ilaahi Hilaanongi
Ay Shimr Tujhpe Aah Gi Bijli Giraaoongi
Uska Na Maare Ga To Dua Deti Jaaoongi
Mehshar Me Hur Se Pehle Tujhe Bakhshwaaoongi
Iss Nauhe Par Bhi Arsh Ko Ussne Hilaa Diya
Khanjar Ko Bosagaahe Nabi Se Mila Diya

4) Chillaaee Fizza Haae Khuda Aur Nikal Padi
Kubra Pukaari Wa Abbasa Aur Nikal Padi
Bano Ne Sar Se Khenchi Rida Aur Nikal Padi
Zainab Pukari Wa Akbara Aur Nikal Padi
Aage To Behavaas haram Rote Jate The
Peeche Pukaarte Hue Bachche Bhi Aate The

5) Gul Pad Gaya Hussain Ne Sar Ko Fida Kiya
Aada Ne Chasme Fathe Ka Saama Bapa Kiya
Ruk Shimr Ne Nusne Haram Me Mustafa Kiya
Ay Shimr Tune Kaisey Kayamat Bapa Kiya
Parda Uthaye Dekhti Thi Khvahare Hussain
Neze Pe Uske Aage Uthaya Sare Hussian

6) Nagah Sheh Ka Laasha Jo Be Sar Nazar Pada
Goya Gule Purida Payambar Nazar Pada
Sar Ka Che Ahlebait Zamin Par Nazar Pada
Ran Me Kate Gale Pe Gale Yun Lipat Gayi
Samjo Ye Ahlebait Ki Duniya Ujad Gayi