Ali Akbar Ki Maa

- Mir Ibadath Ali (2023)


Kadiyal jawan ki lash par Sarwar ne jab giriya kiya
Shimre layeen hasta raha roohe nabi roti rahi

Jab Tak Ali Akbar ki maa Zinda rahi roti rahi
Kadiyal jawan ki maut thi khud zindagi roti rahi

1) Khaime se jab Akbar chale maa ne duae badke lee
Jab Tak Nazar aaya pisar dar par khadi roti rahi

2) Sarwar sarhane baith kar sughra ka khat padhte rahe
Aur umme Laila laash se lipti rahi roti rahi

3) Akbar me jab awaz Dee baba madad ko aaiye
Shabbir se milkar gale khud bebasi roti rahi

4) Akbar to Marne ki Raza lekar chale shabbir se
Maa phir bhi jeene ki dua deti rahi roti rahi

5) Shadi na bhayi ki hui hasrat na Puri ho saki
Sughra madine me azaan sunti rahi roti rahi

6) Madar ki qismat me Sohail Akbar ka ghum tanha na tha
Waris bhi ruqsat ho gya bewarisi roti rahi