Qaid e Sitam Main Ro Kar

- Nadeem Abbas (2023)


Qaide Sitam me ro ker kahti h ye sakina

Beti ki kuch khabar lo aaker shahe madina

Baad apke jaha'n ne wo zulm Mujhpe dhaya,
Her lamha ghudkiya di her gaam pe rulaya
Kisko sunaye apni [2] roodad ye hazina

Serab kr rhe hain naqo ko bhi sitamgar
Dete Nahi mujhe per ik boond baniye shar,
Is tashnagi se baba [2] mar jau mai kahin na

Barbad hogye hum Is sar zamee'n pe aake,
Ghar baar haye ujda mera ye jis tarah se,
Ujde kisi ka kunba [2] is tarha se kbhi na

Hansti hai Mujhpe baba dariyawon ki rawani,
Ammu bhi ab nahi hain laye jo jake pani,
Taqdeer me faqat hai [2] ab mere Ashk pina,

Raas aayi na jawani haye mere Akhi ko,
Roti hu yaad kr k besheer ki hansi ko,
Ik din me Karbala ne [2] kya kya na Humse cheena,

Tum Chhod k gaye ho dashte bala me jabse,
Soyi nahi sakina ik pal ko baba tabse,
Na nind hai moyassar [2] na apka wo sina

Aata nahi hai koi is qaid se chhudane
Khane ko mil rhe hain zalim k taziyane
Logo ne krdiya hai [2] dushwar mera jeena

Kahti thi aye nadeemo soohail roke muztar,
Is zindagi se baba to mout hi hai Behtar
Baqi nahi hai koi [2] jeene ka ab Qareena