Aqd E Zahra O Ali

- Asim Abdi (2023)


Kul e imaan ki kis shaan se shadi hogi

Ek zeeshan ki zeeshan se shadi hogi


Aaj tatheer ki misdaaq banegi dulhan.

Shaan se saahebe quraan se shaadi hogi


Shak na karna kabhi imaane abutaalib me.

Faatema ki bine imraan se shaadi hogi


De sake binte mohammad ko jahaN ki khushyaN.

Ayse ik banda e rehmaan se shaadi hogi

Apne ghar par jise khaliq ne bulaya mehmaa'n

Ahl e imaa'n osi mehmaan se shaadi hogi


Ho Nabi or malak saare baraati jiske.

Farsh par phir na ab is shaan se shaadi hogi.


Yaad rakhna ke hai khaatoone qayaamat zehra.

Uski bas saahebe meezaan se shaadi hogi.


Isse badh ke mai bhala or kya likhhu asim,

Aaj tatheer ki qauraan se shadi hogi