Haaye Zainab, haaye Zainab

- Shabbir and Abbas Tejani (2009)


Zainab
 
(Haaye Zainab, haaye Zainab) x2
 
Issi Hussain ko roya hai umr bhar Sajjad
Issi Hussain ka jangal mei ghar huwa barbaad
Issi Hussain ki khaahar hai Zainab-e-nashaad
Likha hai jiski rida par Hussain Zindabad
Uthi to shaam-e-ghariba(n) ki roshni bankar
Aur chali to sare shaheedo(n) ki zindagi bankar
Qasam khuda ki, Zainab ki mehnat se baaqi hai kaayenaat
Ye zindagi hai uski nikaali huwi zakaat
 
(Haaye Zainab, haaye Zainab) x2
Zainab
 
(Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab) x3
 
1.     (Tere darbaar me jo jayega, jolia(n) bharke lot aayega) x2
Joliyaa(n) bhar ke lot aayenga, Hai tera naam mojeza zainab
 
(Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab) x2
 
2.     (mujhko wo cheez milgayi rab se, mere lab pe thi jo dua kab se) x2
mere lab pe thi jo dua kab se, bas tera waasta diya zainab
 
(Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab) x2
 
3.     (Tere dar par wo aake roti hai, jo bhi khatu(n) ki god khaali hai) x2
Jo bhi khatu(n) ki god khaali hai, Tohfa bacho(n) ka kar ata Zainab
 
(Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab) x2
 
4.     (Tere roze pe jab nazar jaaye, ashk se dil hamara bhar jaaye) x2
Ashk se dil hamara bhar jaaye, Tute dil ki hai tu dawa Zainab
 
(Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab) x2
 
5.     (tere dar par malak bhi aate hain, apni hajaat ka ajr paate hain) x2
Apni haajat ka ajr paate hai, kitna uncha hai martaba zainab
 
(Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab) x2
 
6.     (Sharm se ghazi ro raha hoga, Takht se jab yazid ne pucha) x2
Takht se jab yazid ne pucha, Hai kaha(n) ghazi ab tera Zainab
 
(Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab) x2
 
7.     (Tegh khutbon ki yu(n) chalaayi thi, ke hukumat ko cheen laayi thi) x2
Ke hukumat ko cheen laayi thi, Tu hai islam ki baqa zainab
 
(Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab) x2
 
8.     (gham ko dilpar tumhe uthaana hai, tumko darbaar mei bhi jaana hai) x2
Tumko darbaar mei bhi jaana hai, Fatema ki ho ayina zainab
 
(Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab) x2
 
9.     (Aise sheyr-e-khuda ke lehje mei, apne khutbe sunaaye majme mei) x2
Apne khutbe sunaaye majhme mei, tujhse razi huwa khuda zainab
 
(Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab) x2
 
10.     (Kya guzarti rahi tere dilpar, samne tha shimar liye khanjar) x2
Saamne tha shimar liye khanjar, Tere bhayi pe jab chala zainab
 
(Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab) x2
 
11.     (tere ghazi ka hai saja parcham, aaj ghar ghar bapa hai jo matam) x2
Aaj ghar ghar bapa hai jo matam, hai tejani teri dua zainab
 
(Hai tuhi jaane sayyeda zainab, dine ahmad ka aasra zainab) x2