Mola Abbas Manqabat

- Mir Yousuf Mir (2023)


Haq midhat e ghazi ka ada Kon krega
Ye sanie Zehra ke Siwa Kon karega

Ghazi ne kaha karbala ajana ay musa
Ab toor pe har roz mila kon karega

Ik lamzhy mein awaaz e batool aai azadar
Jab pucha ke janat mein raha kon karega

Mein ne kaha bus parcham e ghazi ki hawain
Jub pucha marizon ne shifa kon kare ga

Hai lipta howa mashk se abbas ka parchum
Ammu ko bhatiji se juda kon karega

Mein hans diya jab bola muqasir sw nuseri
Aya hai najaf shukr e khuda kon kare ga

Ye Karbobla hai yahan marne mrin maza hai
Is sher m jeene ki dua kon karega

Ay musa wafadaar thy haroon bhi lekin
Abbas si duniya m wafa kon karega

Gar nara e haider na ho sajjad jahan mein
Momin ko munafiq se juda kon kare ga