Shezada Ali Asgar

- Zaigam Rajani (2023)


HAY-ASGHAR – HAAYE ASGHAR

(2) Huwi Shaam Na Aaya Asghar, Mai loori Sunaon Kisko

(3) Nawha Tha Ye Maa Ke Lab-Par (2),

Mai Loori Sunaon Kisko Huwi Shaam Na Aaya Asghar, Mai loori Sunaon Kisko

(3) Haathoon-pe gaye thay laykar, Shabbir Tujhe ay jaani, Ye kehke tasal-li di-thi, pil-vaunga isko paani,

Laut aaye hai khaali Sarwar (2),

main lo’ori sunaaon kisko… Kya baath huwi hai beta, kyun rout gayaa maadar se, Jhule ko uda’asi dekar, haathon-pe gaya tha ghar se, Itna to bata de dil-bar

(2), main lo’ori sunaaon kisko… Ashoor ka din dhalte hi, mazloom-mo ki shaam aayi, Din laashe ginte guzra, har shaam qayamat laayi, Maa kehti rehi ye lut-kar (2),

main lo’ori sunaaon kisko… Ye ayh’d kiya hai beta, saaye may-na mai jaungi Kya mujko qabar thi beta, mai itne gham paaungi, Kehti thi yehi maa ak’sar (2),

main lo’ori sunaaon kisko… Paani ki jaga sahil say, ek teer gale par khaakar, Mera be-sheer mujaahid, mera masoom-sa Ashgar, Soota hai lehad ke andar (2),

main lo’ori sunaaon kisko… Tuj-jaisi kali ko beta, Is tarah masal-dhala hai, Tu phool tha mere ghar ka, Tera-rang badal dala hai, Hai zakm teri gardan par (2),

main lo’ori sunaaon kisko… Zakmoon ke safar mai beta, tu-bhi to nahin soya tha Ye maa ko qabar hai Asghar, Tu shay ke-liya roya tha, Tu soo-gaya aakhir thak-kar (2),

main lo’ori sunaaon kisko… In-saann nahin hai koyi, haywaan hai is jungle main,
Jinki thi pehre daari, O sogaye is maqtal main, Ye dekh-ke khooni manzar (2),

main lo’ori sunaaon kisko… Har waqt rulaati rehti, jisko iski tanhaayi Nawha tha “ZAFAR†is maa ka, jo lutt-ke Madine aayi, Ay mere bahadur Asghar (2),

main lo’ori sunaaon kisko…