Aaiye Maula
- Irfan Haider (2023)
Ya Maulana Ya Sahib az zaman
Al ghaus Al ghaus Al ghaus Adrikni
Ya Sahib az zaman..
Wasta hai sham wali shahzadi ka
aaiye maula.. aaiye maula
Wasta hai sham wali shahzadi ka
aaiye maula.. aaiye maula
Aapke hai saath humko karbala jana
aaiye maula
Wasta hai sham wali shahzadi ka
aaiye maula.. aaiye maula
1. Sunnat e sajjad aur zainab adaa karte hue
jayenge paidal najaf se karbala chalte hue
bus yehi armaan e dil hai har hussaini ka
aaiye maula
Wasta hai sham wali shahzadi ka
aaiye maula.. aaiye maula
2. Sar khule jisko phiraya sham ke bazar mein
haye wo jisko bulaya berida darbar mein
han usi zainab ka aakar lijiye pursa
aaiye maula
Wasta hai sham wali shahzadi ka
aaiye maula.. aaiye maula
3. Intezar ab bhi wo karti hai ke akbar aayenge
aur mujhe bhi saath apne karbala le jaenge
khatm ho ab intezar e fatima sughra
aaiye maula
Wasta hai sham wali shahzadi ka
aaiye maula.. aaiye maula
4. Aapko us cheh mahine ke sipahi ki qasam
muskara kar jisne khaya halq par teere sitam
chahiye phir deen ko besheer ka sadqa
aaiye maula
Wasta hai sham wali shahzadi ka
aaiye maula.. aaiye maula
Maula..
Aa bhi ja parda e ghaibat se zamane ke imam
tujhse mimbar pe tere jadd ki kahani sunlein
hum azadaro ki bus akhri hasrat hai yehi
nauha zahra ka bus ek teri zabani sun lein
5. Ghar jalaya, darr giraya, pasliya'n zakhmi huwi
hogaye mohsin shaheed aur ghum zada bibi huwi
dushman e Zahra se aakar lijiye badla
aaiye maula
Wasta hai sham wali shahzadi ka
aaiye maula.. aaiye maula
6. Aapko us char sala sayyeda ka wasta
jiske kaano se chine gauhar lahu behta raha
kam na hoga aapke bin ghum sakina ka
aaiye maula
Wasta hai sham wali shahzadi ka
aaiye maula.. aaiye maula
7. Aaj bhi hai qabr e Zahra dhoop mein tooti hui
hai dua Zeeshan o Irfan e azaa lab par yehi
kijiye tameer aakar roza e Zahra
aaiye maula
Wasta hai sham wali shahzadi ka
aaiye maula.. aaiye maula