Kaisi ye shaam aayi
- Irfan Haider (2023)
Chhane lagi shaame gareeba
Haaye qayamat ka hai sama x 2
Khaymae sadaat se uttha dhua - 2
Haaye qayamat ka hai sama
Chhane lagi shaame gareeba
Haaye qayamat ka hai sama x 2
Ya Hussain (a.s)
Kaisi ye shaam ayi aulade sayyada per - 2
sajjad ro rahe hai zainab se muh chupaker
Kaisi ye shaam ayi aulade sayyada per - 2
1. Sajjad se lipat kar kehti rahi sakina
Ehsaas ho rha hai main ho gayi yateema
Zaalim dara raha hai naiza dikha dikha kar
2. Ek samt bekafan hai bhai ka uske laasha
Abbas ki behen ka baaki raha na parda
Ab sochti hai zainab maange kafan yaa chaadar
3. Jo ghar mei do kadam bhi paidal nahi chali hai
Ek din mei wohi Zainab Abbas ban gayi hai
Pehre pe aa gayi hai tanha alam utha kar
4. Baazu kahin pade hai lasha kahin pada hai
Zainab ki bebasi par ghazi tadap raha hai
Roti hai bekasi bhi farshe aza bichha kar
5. Laasho ke darmiyaan woh baba ko dhoondti hai
Muh apna peet kar Yeh faryaad kar rahi hai
Kadmo pe hi sula lo baba mujhe bula kar
6. Jab agaye najaf se beti ko milne baba
Zano pai rakh ke sar yeh kehne lage wo dukhiya
Zainab ujar gayi hai karbobala basa kar
7. Khaimon ke sath jula bistar bhi jal giya hai
Namose Mustufa ko bhagi kaha gaya hai
Yeh jo lei gaye bezaban ko qaidi hamein bana kar
8. Guzre ghi kaise yawar maqtal se shahzadi
Irfan bekasi me Abid ne shab guzari
Zainab ka naam lega zalim wo muskura kar