Ali Shaheed Hue.

- Anjuman e Hussainiya balwaghat jaunpur (2023)


Hai Jibraeel Ka Nauha Ali Shaheed Hue.
Tadap Rahi Hai Duniya Ali Shaheed Hue.-2

(1)
Lebas E Gham Me Hai Kaba Tadap Rahi Hai Zami,
Hai Ashk-Bar Madina Ali Shaheed Hue,
Hai Jibraeel Ka Nauha Ali Shaheed Hue.

(2)
Bujhi Me Zaher Me Talwaar Ibne Muljim Ki,
Tha Aisa Zaher Ka Hamla Ali Shaheed Hue,
Hai Jibraeel Ka Nauha Ali Shaheed Hue.

(3)
Hasan Husain Ki Aankho Se Ashk Jaari Hai,
Nahi Hai Koi Sahara Ali Shaheed Hue,
Hai Jibraeel Ka Nauha Ali Shaheed Hue.

(4)
Tamaam Kunbe Ki Ab Passban Hai Zainab,
Hua Hai Julam Ye Kaisa Ali Shaheed Hue,
Hai Jibraeel Ka Nauha Ali Shaheed Hue.

(5)
Khuda Ke Ghar Me Lagi Zarb Ek Namazi Ko,
Lahu Bhara Hai Musalla Ali Shaheed Hue,
Hai Jibraeel Ka Nauha Ali Shaheed Hue.

(6)
Butool Rooti Hai Marqad Me Ya Ali Keh Kar,
Mila Hai Dil Ko Ye Sadma Ali Shaheed Hue,
Hai Jibraeel Ka Nauha Ali Shaheed Hue.

(7)
Khuda Ke Ghar Me Namazi Ko Qatal Kar Dala,
Ye Marsiha Hai Ali Ka Ali Shaheed Hue,
Hai Jibraeel Ka Nauha Ali Shaheed Hue.

(8)
Khayal Kun Karega Bhala Ghareebo Ka,
Yateem Ho Gaya Koofa Ali Shaheed Hue,
Hai Jibraeel Ka Nauha Ali Shaheed Hue.

(9)
Lipat Kar Baap Se Kulsoom Or Jari Rooye,
Pahadh Gham Hai Toota Ali Shaheed Hue,
Hai Jibraeel Ka Nauha Ali Shaheed Hue.

(10)
Ye Bain Karti Hai Abbas-E-Naamdaar Ki Maa,
Jafa Ne Ghar Ko Mere Loota Ali Shaheed Hue,
Hai Jibraeel Ka Nauha Ali Shaheed Hue.

(11)
Qareeb Eid Ke Aye Momino Hua Ye Ghazab,
Chaman Butool Ka Ujdha Ali Shaheed Hue,
Hai Jibraeel Ka Nauha Ali Shaheed Hue.

(12)
Lipat Ke Roote Hai Turbat Se Chahane Wale,
Har Ek Dil Hai Shikastta Ali Shaheed Hue,
Hai Jibraeel Ka Nauha Ali Shaheed Hue.

(13)
Ye Zakham Aur Hare Hoge Karbala Jakar,
Hasan Husain Hai Tanha Ali Shaheed Hue,
Hai Jibraeel Ka Nauha Ali Shaheed Hue.-2