Ali Shaheed Huve

- Mohammad Ali Zaidi (2022)


Har Samt Gham Hi Gham Hai Udaasi Si Chhai Hai.....
Ikkeesvee'n Jahan Mein Ramzaa'n Ki Aayi Hai.....

Mushkil Kusha e Deher Zamane Se Uth Gaya.....
Ik Shor Hai Ki Haaye Ye Kaisa Ghazab Hua.....

Zehra Ke Ladlo'n Pe Qayamat Guzar Gayi.....
Ik Hashr Sa Bapa Tha Jaha'n Tak Nazar Gayi.....

Gham Mein Ali Ke Masjid-e-Koofa Thi Sogwaar.....
Mimbar Udaas Udaas Tha Mehraab Be Qaraar......

Pukari Masjid-e-Koofa Ali Shaheed Huye....
Namaz Mein Mere Maula Ali Shaheed Huye.....

(1)
Ye Kaisi Aaj Zamane Mein Subh Aayi Hai...
Lahoo Mein Dooba Hua Shere Kibriyai Hai....
Wo Zarb Sar Pe Sitamgaar Ne Lagai Hai....
Raha Na Kaabe Ka Qibla Ali Shaheed Huye.....

(2)
Zameen-o-Arsh Hain Giriya Kunaa'n Yateemi Par....
Lahoo Lahoo Hai Faza Aur Dhuaa'n Dhuaa'n Manzar....
Tadap Rahe Hain Musalle Pa Faatahe Khaibar.....
Ujad Rahi Hai Ye Duniya Ali Shaheed Huye.....

(3)
Bapa Hai Hashr Do Aalam Mein Ye Khabar Sun Kar....
Hain Do Jahaan Ke Sultaan Aaj Khoon Mein Tar....
Wo Sakinaan e Falak Ho'n K Is Zamee'n Ke Bashar....
Labo'n Pe Sabke Hai Nauha Ali Shaheed Huye.....

(4)
Yateem Koofe Ke Ek Baar Phir Yateem Huye.....
Kafeel e Bekas o Miskeen Aaj Maare Gaye....
Ada Ab Haqqe Kefalat Batao Kaun Kare.....
Jahaa'n Ke Aaj Maseeha Ali Shaheed Huye.....

(5)
Hasan Hain Giriya Kunaa'n Peette Hain Seene Ko....
Jo Dekha Ranj Ke Toofaan Mein Safeene Ko....
Tadap Tadap Ke Mukhatib Kiya Madeene Ko...
Kaha Nabi Se Ki Nana Ali Shaheed Huye.....

(6)
Labo'n Pe Zainab o Kulsoom Ke Tha Ye Nauha....
Chalein Hain Chhod Ke Kiske Sahare Aye Baba....
Abhi To Maa'n Ka Bhi Daagh-e-Mafareqat Na Mita.....
Andheri Ho Gayi Duniya Ali Shaheed Huye.....

(7)
Hussain Tadpe Kuchh Aise Qareeb e Sher e Khuda......
Tadap Ke Reh Gayee'n Marqad Mein Fatema Zehra.....
Har Ek Samt Qayamat Ka Shor Tha Barpa....
Har Ek Samt Tha Giriya Ali Shaheed Huye......

(8)
Chale Jo Suye Jenaa'n Shere Kibriya Talib.....
Tadap Ke Kehte The Mazloom e Karbala Talib.....
K Khandaan e Mohammad Ujad Gaya Talib.....
Nahi Hai Koi Sahara Ali Shaheed Huye......