Umme Laila Ka Tha Nauha

- Mir Meesam Abbas (2021)


UMME LAILA KA THA NOWHA KE RULAYA NA KARO
NAUJAWAN BETE KI MAYYAT SEI UTHAYA NA KARO

Jab se tum ran ko gaye maa hai pareshan beta
Rasta takti hai maa ho teray qurban beta
Ghamzada maa ko mere laal sataya na karo

Jawan laal bharay ghar ki shaan hota hai
Sukoon baap ka aur ma ki jaan hota hai
Pisar ka daag kisi maa ko dikhaya na karo

Behen tho aaj bhi tak ti hay bhai ka rasta
Woh khairiyat se rahe dil se dua Wabasha
Kahon mei kya usay dukhiya ko rulaya na karo

Kaha ho aun o mohamed o qaim o abbas
Kisay talash ko bheju nahi hai koi aas
Be saharon ko meri jaan bhulaya na karo

shaheed hogay maqtal mei naujawan akbar
Khaleja chidgaya seenay peh bachiya khakar
Khudara daag Judai ka dikhaya na karo

Udaas chehra e Shabbir par padi jo nazar
Tadap ke kehne lagi madar e Ali akbar
Jawab lash pe sadqe mushe kiya toh karo


Rafiq kaise raqam ho sakegi maa ki sada
Dard e Laila karega kaise yeh meesam bhi bayan
Kisi bhi maa ko jawan bete sei Juda na karo