Aa Gaya Sher E Ali

- Mir Hasan Mir (2023)


Abbas(10)
Ameer E Lashkar E Hussain(3)
Badabuland Hausla
Misaal E Shah E La Fata
Guroor E Aale Mustafa
Wafa Bagait E Mojiza
Wo Shere Dast E Nainawaan,Ameer E Lashkar E Hussaiin

Abbas,abbas,abbas,abbas

Aagaya,aagaya,aagaya Sher E Ali Aa Gaya Sher E Ali (5)

(1)shaam Ki Fauj Ye Kehte Hue Darya Se Hati
Aagaya,aagaya,aagaya Sher E Ali

(2)Par Samete Hue Gebriel Ne Aawaaz Ya Di
Aagaya Sher E Ali(3)

(3)raub Se Shere Dilaawar Ke Falaq Bhi Kham Hai
Chote Hazrat Ki Sawaari Ka Ajab Aalam Hai
Chaand Padhtaa Hai Sarak Ti Hai Ghata E Saari
Aagaya Sher E Ali(3)

(4)ran Me Abbas Hi Abbas Dikaayi Denge(2)
Aaj Siffin Ke Murde Bhi Duhayi Denge
Fauj Ke Haal Me Yaad Aayenga Sabko Maazi

Aagaya Sher E Ali(3)

(5)al Amaan Al Amaan Al Amaan
Kis Sher Ki Aamad Hai Ke Ran Kaap Raha Hai
Ek Taraf Chark E Gauhan Kaap Raha Hai
Rustam Ka Badan Zer E Kafan Kaap Raha Hai
Shamsheer E Hadaf Dekh Ke Haider Ke Pisar Ko
Gebriel Larazte Hai Samete Hue Parr Ko

Aagaya Sher E Ali(3)

(6)shaam Waalo Ke Liye Waqt E Zawaal Aayaa Hai
Aaj Zehra Ki Mashiat Ko Jalaal Aayaa Hai
Al Amaan Kehte Hai Jinnaton Malak Hooron Pari

Aagaya Shere Ali(3)

(7)dambaa Khub Soor E Sarafeel Hua Hai Is Dam
Kya Qayamat Hai Larazte Hai Pahaadon Ke Qadam
Zalzala Hai Ya Zameen Le Ti Hai Saansen Jaldi

Aagaya,aagaya,aagaya Shere Ali

(8)raahat Ke Mohallon Ko Bala Poonch Rahi
Hasti Ke Makaanon Ko Fana Poonch Rahi Hai
Taqdeer Se Umr Apni Qaza Poonch Rahi Hai
Dozakh Ka Pata Fauj E Jafa Poonch Rahi Hai
Al Hashr Jo Murde Na Pukaare To Ghazab Hai
Al Maut Zabaane Malakul Maut Pe Rab Hai


Aagaya Sher E Ali(3)

(9)tegh E Abbas Bhi Bijli Ki Chamak Jesi Hai
Lashkar E Shaam Ki Ye Kaali Ghata Kehti Hai
Aaj Maidaan Me Barsaat Saron Ki Hongi

Aagaya Sher E Ali(3)

(10)ran Se Har Bhaag Ne Waala Ye Sadaa Deta Hai
Sher Ke Haath Me Talwaar Nahi Neza Hai
Ye Isi Neze Se Hum Sab Ko Giraa Dega Abhi

Aagaya Sher E Ali(3)

(10)allah Re Amaad Abbas Sab Shitam
Larzate The Dil Or Badan Kaap Tha Tan
Jungle Ke Sher Qhauf Se Bangaye Hiran
Ek Shor Tha Ke Aaj Padega Ghjazab Karam
Ye Sher Kam Nahi Hai Asad E Kul Ameer Se
Goya Muqaabla Hai Janaabe Ameer Se

Aagaya Sher E Ali(3)

Har Taraf Maut Ka Maidaan Me Laga Hai Pehra
Zer E Lab Padte The Ali Jis Tarah Se Ya Zehra
Waise Maidaan Me Dohraate Hue Naad E Ali

Aagaya Sher E Ali(3)

Hogayi Aapke Aane Pe Takallum Kaafi
Likh Chuke Aamad E Abbas Abhi Saare Dabi
Unke Misron Ki Sadaan Gunj Rahi Hai Abbhi

Aagaya Sher E Ali(3)