Ali Ali Moula

- Mir Meesam Abbas (2021)


ghadeer e qum ka hai nara ali ali moula
 
khuda ke deen ka sahara ali ali moula
 
na humse puchiyo mushkil mei kyun kahahaider
bado sei apne bhi khaiber ka puchlo manzar
nabi ne khud he pukara
ali ali moula
 
o zabaan katake bhi meesam yehi toh kehte hai
rage hayat pe moula hamare rehte hai
ruke na zikr tumara.ali ali moula
 
hai mujhko naaz ke shajra mera ghareeri hai
 
ameer bheek manghe yeh wahi ameeri hai
 
khuda ke deen ka sitara.ali ali moula
 
wilayat e ali moula se tum juda na raho shareef maa hai batane wali allah kaho wahi waliyon ka pyaaraali ali moula
 
har ek faqeer ke dil mei yehi toh hasrat hai
 
dikhai aap jo roza toh phir inayat hai
najaf dikhade khudara
ali ali moula
 
suni jo aya e baligh nabi sei youm e ghadeer
nabi ne kehdiya haider he kaiyenate ameer
khuda ka hai yeh ishara ˳ali ali moula.
 
batane maa ki taharat moin aur meesam
uthake hath mei apne rasool ka parcham
lagao jhoom ke nara.ali ali moula