Ali Ali Akbar Ali Ali

- Ahmed Raza Nasiri (2020)


Ali Ali Akbar, Ali Ali
Shabih e Payambar Ali Ali, Aye janaam
 
Nazar utha key to maa ko dekho ey beta, Aye janaam
Kyun sar jhukaye kharey huey ho ey beta, Aye janaam
Tum hi thou madar ka asra ho ey beta
Aye Jaan e Madar, Ali Ali
Aye Jaan e Madar, Ali Ali
Shabih e Payambar Ali Ali
Shabih e Payambar Ali Ali
 
Aye merey yousuf e jamal e Akbar ruk jao, Aye janaam
Na jee sakegi tumhari madar ruk jao, Aye janaam
Sahain gey kesey yeh dagh sarwar ruk jao
Ruko ey Safdar, Ali Ali
Ruko ey Safdar, Ali Ali
Shabih e Payambar Ali Ali
Shabih e Payambar Ali Ali
 
Hai Umm e Laila key lab pey noha wawaila, Aye janaam
Lahoo mey dooba hai laal mera wawaila, Aye janaam
Hua hai seenay key par neza wawaila
Fida ho Madar, Ali Ali
Fida ho Madar, Ali Ali
Shabih e Payambar Ali Ali
Shabih e Payambar Ali Ali
 
Nabi ki surat, Nabi ki seerat ey Akbar, Aye janaam
Nisaar tujh pey jahan ki azmat ey Akbar, Aye janaam
Pukarti hai tujhey shahadat ey Akbar
Ey Gul e Haider, Ali Ali
Ey Gul e Haider, Ali Ali
Shabih e Payambar Ali Ali
Shabih e Payambar Ali Ali
 
Padar ki ankhon ka noor ho tum ey dilbar, Aye janaam
Suna hai zakhmo sey choor ho tum ey dilbar, Aye janaam
Kyun haye madar sey door ho tum ey dilbar
Dua e Madar, Ali Ali
Dua e Madar, Ali Ali
Shabih e Payambar Ali Ali
Shabih e Payambar Ali Ali
 
Hai khoon ki pyasi yeh fauj e adaa ajao, Aye janaam
Utarey Zainab tumhara sadqa ajao, Aye janaam
Sadaye deti hain binte Zehra ajao
Rida e Zainab, Ali Ali
Rida e Zainab, Ali Ali
Shabih e Payambar Ali Ali
Shabih e Payambar Ali Ali
 
Batao kamil likhun mey kesey woh manzar, Aye janaam
Bapa tha karbobala mey haye woh mehshar, Aye janaam
Uthaye lasha kamar khameeda thy sarwar
Sadaye Akbar, Ali Ali
Sadaye Akbar, Ali Ali
Shabih e Payambar Ali Ali
Shabih e Payambar Ali Ali